Shayari
ham aise dasht kaa taalaab hain jahaan paani
koi bhi sher ho gardan jhukaa ke piitaa hai

Sharib Mauranwi
Sharib Mauranwi
ham aise dasht kaa taalaab hain jahaan paani
koi bhi sher ho gardan jhukaa ke piitaa hai
qafas ke band parinde hain jin ki aankhon mein
asiri ghumti rahti hai qaid-khaanon ki
aaj main aaina na dekhungaa
is mein sirat dikhaai deti hai
tumhein bhi ek din main DhunDhtaa huaa aataa
magar ye ruuh kisi aur ke hisaar mein hai
us ne honTon pe lab rakhe bhi na the
mujh mein suraj tulu' hone lagaa
rukh pe aa jaataa hai jis roz tamanna kaa bukhaar
raat ho jaati hai chehra mujhe dhote dhote
shajar pe baiThe parindon kaa shor kaaTtaa hai
darakht ko mire ghar se ukhaaD de koi
kabhi milo to dikhaaun udaasiyon kaa safar
jinhein main ruuh ki gahraaiyon mein rakhtaa huun
puuri duniyaa mujhe fankaar samajhti hai to kyaa
mere ghar vaale to naakaara samajhte hain mujhe
siyaah shab mein charaaghon se dosti karnaa
hamein pasand nahin ghar mein dushmani karnaa
miri aankhein yahaan tanhaa paDi hain
to us kaa kaun pichhaa kar rahaa hai
kisi ko maar ke khush ho rahe hain dahshat-gard
kahin pe shaam-e-gharibaan kahin divaali hai