Shayari
aaj ki raat hai bahut bhaari
aaj ki raat bas guzar jaae
'anjum' aa'saab sanbhaalo hai yahi rang-e-bahaar
bu-e-shauq aane lagi yaar ki angDaai se
انجمؔ اعصاب سنبھالو ہے یہی رنگ بہار
بوئے شوق آنے لگی یار کی انگڑائی سے
'अंजुम' आ'साब सँभालो है यही रंग-ए-बहार
बू-ए-शौक़ आने लगी यार की अंगड़ाई से

aaj ki raat hai bahut bhaari
aaj ki raat bas guzar jaae
dil ki hi kisi baat ko tahrir na kar paae
likhne pe jab aae the to kyaa kyaa nahin likkhaa
ye kyaa ki khayaalon se uDi jaati hai khushbu
main ne to abhi tak use sochaa bhi nahin hai
'arzi insaaf ki ham ne bhi lagaa rakkhi hai
dekhiye zill-e-ilaahi hamein kab puchhte hain
zamaana jin ki qayaadat mein gaamzan thaa vo log
bhaTak gae tiri aankhon ki rahnumaai mein
abhi se falsafa-e-reg-zaar ki baatein
abhi to 'ishq ke maktab mein haaziri hui hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tu dard bhi duaa bhi tu zakhm bhi davaa bhi
shikve bhi hain tujhi se aur pyaar bhi tujhi se
pyaar aankhon se chhalaktaa hi hai
dil ke paimaane mein saaraa na rahe
chaTpaTi dil ki bujhi yaar ke dekhe se yuun
bhuke ko jaise kahin se goyaa khaanaa aayaa
udaas shaam ki yaadon bhari sulagti havaa
hamein phir aaj puraane dayaar le aai
is andhere mein na ik gaam bhi ruknaa yaaro
ab to ik dusre ki aahaTein kaam aaeingi