Shayari
yuun saraapaa iltijaa ban kar milaa thaa pahle roz
itni jaldi vo khudaa ho jaaegaa sochaa na thaa
taa-subh meri laash rahi be-kafan to kyaa
baanu-e-shaam nauha-kunaan hi nahin hui
تا صبح میری لاش رہی بے کفن تو کیا
بانوئے شام نوحہ کناں ہی نہیں ہوئی
ता-सुब्ह मेरी लाश रही बे-कफ़न तो क्या
बानू-ए-शाम नौहा-कुनाँ ही नहीं हुई

yuun saraapaa iltijaa ban kar milaa thaa pahle roz
itni jaldi vo khudaa ho jaaegaa sochaa na thaa
use jis shab madhur aavaaz mein gaanaa thaa laazim
rivaayat hai ki us shab bhi parinda chup rahaa thaa
jo nahin hotaa bahut hoti hai shohrat us ki
jo guzarti hai vo ashaar mein aati hi nahin
shaam mimbar par fazilat ke bahut sanjida farhaan
subh-dam afsurdagi ke farsh par bikhraa huaa main
jis raat mein na hijr ho ne vasl 'ajmali'
us raat mein kahaan ki ghazal jaagte raho
aankhon mein meri subh-e-qayaamat gai jhamak
siine se us pari ke jo parda ulaT gayaa
aaj yaaron ko mubaarak ho ki subh-e-eid hai
raag hai mai hai chaman hai dilrubaa hai diid hai
jo dekhiye to zamaana hai tez-rau kitnaa
tulu-e-subh abhi hai to vaqt-e-shaam abhi
jo hui subh to dekhe nae qadmon ke nishaan
aaj hi raat ko lauTe the safar se apne
kyaa jaanein un ki chaal mein eajaaz hai ki sehr
vo bhi unhin se mil gae jo the hamaare log
subh tak thaa vahin ye mukhlis bhi
aap rakhte the shab jahaan tashrif