Shayari
main judaai kaa muqarrar silsila ho jaaungaa
vo bhi din aaegaa jab khud se judaa ho jaaungaa
ye bhi huaa ki filon ke darmiyaan milin
mujh ko kahaan kahaan miri tanhaaiyaan milin
یہ بھی ہوا کہ فائلوں کے درمیاں ملیں
مجھ کو کہاں کہاں مری تنہائیاں ملیں
ये भी हुआ कि फ़ाइलों के दरमियाँ मिलीं
मुझ को कहाँ कहाँ मिरी तन्हाइयाँ मिलीं

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ham ne gham bhar liye hain daaman mein
jab mayassar koi khushi na hui
kyaa tire shahr ke insaan hain patthar ki tarah
koi naghma koi paayal koi jhankaar nahin
aankh ko nam kiye baghair dil ko buraa kiye baghair
us ki gali se aa gae ham to sadaa kiye baghair