Shayari
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
hotaa hai mire dil mein hasinon kaa guzar bhi
ik anjuman-e-naaz hai allaah kaa ghar bhi
ہوتا ہے مرے دل میں حسینوں کا گزر بھی
اک انجمن ناز ہے اللہ کا گھر بھی
होता है मिरे दिल में हसीनों का गुज़र भी
इक अंजुमन-ए-नाज़ है अल्लाह का घर भी
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
botalein khol kar to pi barson
aaj dil khol kar bhi pi jaae
kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyaan tak laae
kaun laa saktaa hai ham dil ko jahaan tak laae
pahli nazar bhi aap ki uff kis balaa ki thi
ham aaj tak vo choT hain dil par liye hue
dil ki haalat se khabar deti hai
'asar' aashufta-bayaani meri