Shayari
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
ham ne maanaa ki nahin hoti mukammal taskin
khat ko bhi aadhi mulaaqaat kahaa jaataa hai
ہم نے مانا کہ نہیں ہوتی مکمل تسکیں
خط کو بھی آدھی ملاقات کہا جاتا ہے
हम ने माना कि नहीं होती मुकम्मल तस्कीं
ख़त को भी आधी मुलाक़ात कहा जाता है
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
jab talak shisha rahaa main baar-haa toDaa gayaa
ban gayaa patthar to sab ne devtaa maanaa mujhe
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai