Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
ab tak khabar na thi ki mohabbat gunaah hai
ab jaan kar gunaah kiye jaa rahaa huun main
اب تک خبر نہ تھی کہ محبت گناہ ہے
اب جان کر گناہ کیے جا رہا ہوں میں
अब तक ख़बर न थी कि मोहब्बत गुनाह है
अब जान कर गुनाह किए जा रहा हूँ मैं

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
husn kaa har khayaal raushan hai
ishq kaa muddaaa kise maalum
tu ne kab ishq mein achchhaa buraa sochaa 'sarvar'
kaise mumkin hai ki teraa buraa anjaam na ho
dekh ye jazb-e-mohabbat kaa karishma to nahin
kal jo tere dil mein thaa vo aaj mere dil mein hai