Shayari
shaikh kahte hain mujhe dair na jaa kaaba chal
barhaman kahte hain kyuun yaan bhi khudaa hai ki nahin
ashk-baari se gham-o-dard ki kheti-baaDi
lahlahi si nazar aati hai hari rahti hai
اشک باری سے غم و درد کی کھیتی باڑی
لہلہی سی نظر آتی ہے ہری رہتی ہے
अश्क-बारी से ग़म-ओ-दर्द की खेती-बाड़ी
लहलही सी नज़र आती है हरी रहती है

shaikh kahte hain mujhe dair na jaa kaaba chal
barhaman kahte hain kyuun yaan bhi khudaa hai ki nahin
jo apne jite-ji ko kunein mein Duboiye
to chaah mein kisi ki giraftaar hoiye
tamaam khalq-e-khudaa zer-e-aasmaan ki sameT
zamin ne khaai va-lekin bharaa na us kaa peT
ai dil tujhe karni hai agar ishq se baiat
zinhaar kabhu chhoDiyo mat silsila-e-dard
raqib jam ke ye baiThaa ki ham uThe naa-chaar
ye patthar ab na haTaae haTe hai kyaa kiije
kuchh na dekhaa kisi makaan mein ham
kahte hain laa-makaan mein kuchh hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
baarish ke baa'd raat saDak aaina si thi
ik paanv paaniyon pe paDaa chaand hil gayaa
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
mire aibon ko ginvaayaa to sab ne
kisi ne meri gham-khvaari nahin ki