Shayari
kisi se koi bhi ummid rakhnaa chhoD kar dekho
to ye rishta nibhaanaa kis qadar aasaan ho jaae
zaraa saa qatra kahin aaj agar ubhartaa hai
samundaron hi ke lahje mein baat kartaa hai
ذرا سا قطرہ کہیں آج اگر ابھرتا ہے
سمندروں ہی کے لہجے میں بات کرتا ہے
ज़रा सा क़तरा कहीं आज अगर उभरता है
समुंदरों ही के लहजे में बात करता है

kisi se koi bhi ummid rakhnaa chhoD kar dekho
to ye rishta nibhaanaa kis qadar aasaan ho jaae
shaam tak subh ki nazron se utar jaate hain
itne samjhauton pe jiite hain ki mar jaate hain
gham aur hotaa sun ke gar aate na vo 'vasim'
achchhaa hai mere haal ki un ko khabar nahin
jo mujh mein tujh mein chalaa aa rahaa hai barson se
kahin hayaat isi faasle kaa naam na ho
kabhi lafzon se ghaddaari na karnaa
ghazal paDhnaa adaakaari na karnaa
kuchh hai ki jo ghar de nahin paataa hai kisi ko
varna koi aise to safar mein nahin rahtaa