Shayari
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
qadam qadam pe havaadis ne rahnumaai ki
ravaan hai jaada-e-manzil pe kaarvaan-e-khayaal
قدم قدم پہ حوادث نے رہنمائی کی
رواں ہے جادۂ منزل پہ کاروان خیال
क़दम क़दम पे हवादिस ने रहनुमाई की
रवाँ है जादा-ए-मंज़िल पे कारवान-ए-ख़याल
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai