Shayari
karne ko kuchh nahin hai nae saal mein 'yashab'
kyon naa kisi se tark-e-mohabbat hi kijiye
haqiqaton se mafar chaahi thi 'yashab' main ne
par asl asl rahaa aur khvaab khvaab rahaa
حقیقتوں سے مفر چاہی تھی یشبؔ میں نے
پر اصل اصل رہا اور خواب خواب رہا
हक़ीक़तों से मफ़र चाही थी 'यशब' मैं ने
पर अस्ल अस्ल रहा और ख़्वाब ख़्वाब रहा

aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
khayaal-e-vaada tiraa bas-ki shab nazar mein rahaa
tamaam raat miraa ji sadaa-e-dar mein rahaa
khushbuon kaa nuzul hotaa thaa
pahle pattaa bhi phuul hotaa thaa
main khushbuon ke zikr pe khaamosh hi rahaa
haalaanki ek phuul mire haafize mein thaa