Shayari
ye samajh kar faqiri hi mein hai khudaa
gun hamesha faqiron ke gaate rahe
Y
Yashpal Guptajo sukh ke ujaale mein thaa parchhaain hamaari
ab dukh ke andhere mein vo saayaa nahin dekhaa
جو سکھ کے اجالے میں تھا پرچھائیں ہماری
اب دکھ کے اندھیرے میں وہ سایا نہیں دیکھا
जो सुख के उजाले में था परछाईं हमारी
अब दुख के अँधेरे में वो साया नहीं देखा
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai