Shayari
jaane kis kirdaar ki kaai mere ghar mein aa pahunchi
ab to 'zafar' chalnaa hai mushkil aangan ki chiknaai mein
baadalon ne aaj barsaayaa lahu
amn kaa har faakhta rone lagaa
بادلوں نے آج برسایا لہو
امن کا ہر فاختہ رونے لگا
बादलों ने आज बरसाया लहू
अम्न का हर फ़ाख़्ता रोने लगा

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
raaste aur bhi jaate hain udhar ko lekin
vo mire dil se guzartaa huaa ghar jaataa hai
dil ke andar bhi chaar khaane hain
koi kaise na bad-gumaan hogaa
na baat dil ki sunun main na dil sune meri
ye sard jang hai apne hi ik mushir ke saath