Shayari
hamaaraa ishq ravaan hai rukaavaTon mein 'zafar'
ye khvaab hai kisi divaar se nahin ruktaa
shab-e-visaal tire dil ke saath lag kar bhi
miri luTi hui duniyaa tujhe pukaarti hai
شب وصال ترے دل کے ساتھ لگ کر بھی
مری لٹی ہوئی دنیا تجھے پکارتی ہے
shab-e-visāl tire dil ke saath lag kar bhī
mirī luTī huī duniyā tujhe pukārtī hai

hamaaraa ishq ravaan hai rukaavaTon mein 'zafar'
ye khvaab hai kisi divaar se nahin ruktaa
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
sunaa hai vo mire baare mein sochtaa hai bahut
khabar to hai hi magar mo'tabar zyaada nahin
mujhe kharaab kiyaa us ne haan kiyaa hogaa
usi se puchhiye mujh ko khabar ziyaada nahin
tanhaa rahne mein bhi koi uzr nahin hai
lekin us ke saath hi tanhaa rah saktaa huun
ik dhuup si tani hui baadal ke aar-paar
ik pyaas hai ruki hui jharne ke baavajud
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
main badalte hue haalaat mein Dhal jaataa huun
dekhne vaale adaakaar samajhte hain mujhe