Shayari
yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
zinda rakhtaa thaa mujhe shakl dikhaa kar apni
kahin ru-posh huaa aur mujhe maar diyaa
زندہ رکھتا تھا مجھے شکل دکھا کر اپنی
کہیں روپوش ہوا اور مجھے مار دیا
zinda rakhtā thā mujhe shakl dikhā kar apnī
kahīñ rū-posh huā aur mujhe maar diyā

yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
yuun bhi hotaa hai ki yak dam koi achchhaa lag jaae
baat kuchh bhi na ho aur dil mein tamaashaa lag jaae
kyaa khabar jis kaa yahaan itnaa uDaate hain mazaaq
khud hamein bhi kabhi is rang mein Dhalnaa paD jaae
apni marzi se bhi ham ne kaam kar Daale hain kuchh
lafz ko laDvaa diyaa hai beshtar maani ke saath
haath pair aap hi main maar rahaa huun filhaal
Dubte ko abhi tinke kaa sahaaraa kam hai
raaste hain khule hue saare
phir bhi ye zindagi ruki hui hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
kuchh chhoTe chhoTe dukh apne kuchh dukh apne azizon ke
in se hi jivan bantaa hai so jivan ban jaaegaa
tamaam umr tiraa intizaar kar leinge
magar ye ranj rahegaa ki zindagi kam hai
rah-e-hayaat mein kaanTon ne mehrbaan ho kar
bachaa liyaa hai azaab-e-shaguftagi se mujhe
itni si zindagi mein itni laDaaiyaan
kyaa ho gayaa hai ham ko kyaa kar rahe hain ham
hamaari zindagi-o-maut ki ho tum raunaq
charaagh-e-bazm bhi ho aur charaagh-e-fan bhi ho