Shayari
mohabbat aur 'maail' jald-baazi kyaa qayaamat hai
sukun-e-dil banegaa iztiraab aahista aahista
M
Mael LakhnaviMael Lakhnavi
Mael Lakhnavi
mohabbat aur 'maail' jald-baazi kyaa qayaamat hai
sukun-e-dil banegaa iztiraab aahista aahista
main ne dekhe hain dahakte hue phulon ke jigar
dil-e-binaa mein hai vo nuur tumhein kyaa maalum
sailaab-e-ishq gharq-kun-e-aql-o-hosh thaa
ik bahar thaa ki shaam-o-sahar garam-josh thaa
nazar aur vusat-e-nazar maalum
itni mahdud kaaenaat nahin
yaad aur un ki yaad ki allaah-re mahviyat
jaise tamaam umr ki fursat kharid li
nigaah-e-naaz ki pahli si barhami bhi gai
main dosti ko hi rotaa thaa dushmani bhi gai
daavaa-e-insaaniyat 'maail' abhi zebaa nahin
pahle ye socho kisi ke kaam aa saktaa huun main