SHAWORDS
Mohammad Moosa

Mohammad Moosa

Mohammad Moosa

poet ·

11
Verses

Popular Shayari & Quotes

Quote
"har ek vaade pe un ke yaqin laae hain baDe khulus se ham ne fareb khaae hain ghamon ko dekhne vaale hamaaraa zarf bhi dekh hujum-e-gham mein bhi ham rah ke muskuraae hain uThaa huun bazm se un ki to yuun huaa mahsus ki jaise khud vo mire saath saath aae hain ho jaise qabze mein donon jahaan kaa sarmaaya ham un ke dard-e-mohabbat ko yuun chhupaae hain sivaae un ke mujhe kuchh nazar nahin aataa kuchh is tarah vo nazar mein miri samaae hain farogh-e-mahr-o-mah-o-anjum-o-gul-o-ghuncha jamaal-e-yaar ke kitne hasin saae hain ham ek zarra-e-khaaki mein phir bhi ai 'musaa' faraaz-e-tur se bijli churaa ke laae hain"
Mohammad MoosaMohammad Moosa
Quote
"pahlaa saa aashiqi kaa vo meaar bhi nahin aur husn ki vo garmi-e-baazaar bhi nahin lillaah ab to rukh se uThaa dijiye naqaab aise mein koi taalib-e-didaar bhi nahin sar-basta-raaz-haa-e-haqiqat ki daastaan kahte hain vo jo vaaqif-e-asraar bhi nahin apnaa ajiib haal hai zindaan-e-dahr mein aazaad bhi nahin hain giraftaar bhi nahin josh-e-junun-e-ishq ko kyaa nazr duun ki ab daamaan-e-zindagi mein koi taar bhi nahin hai qaafila bhi bhaTkaa huaa apni raah se manzil-shanaas qaafila-saalaar bhi nahin dekhaa hai jab se jalva-e-ru-e-jamaal-e-dost 'musaa' ko zindagi se koi pyaar bhi nahin"
Mohammad MoosaMohammad Moosa
Quote
"karam-e-khaas kaa eajaaz dikhaayaa kis ne Dubne vaale bataa tujh ko bachaayaa kis ne mujh pe ilzaam-e-mohabbat to bajaa hai lekin pahle apnaa qadam-e-shauq baDhaayaa kis ne mere dil ne na kahaa teri nazar ne na kahaa raaz ulfat kaa zamaane ko bataayaa kis ne chaahne vaalon ki nazron ko duaaein diije aap ko khalq mein mahbub banaayaa kis ne apni tanhaai-e-vahshat pe hansi aati hai jab na thaa koi to phir mujh ko rulaayaa kis ne meri aashuftagi-e-shauq pe hansne vaale muskuraa kar mujhe divaana banaayaa kis ne hairat-e-jalva thi yaa sehr-e-tajalli 'musaa' mujh ko hi meri nigaahon se chhupaayaa kis ne"
Mohammad MoosaMohammad Moosa
Quote
"tumhaari yaad mire dil mein jab kabhi aai gumaan huaa ki andhere mein raushni aai jahaan-e-dil mein usi din se inqalaab aaya mizaaj-e-husn mein jis din se barhami aai jo tum gae to mujhe zulmaton ne gher liyaa na aaftaab hi niklaa na chaandni aai na multafit hue teri nazar ke maare hue sanvar sanvar ke kai baar zindagi aai chaman mein chaar taraf zulmaton ke Dere the jalaa hamaaraa nasheman to raushni aai mire fasaana-e-gham par miri tabaahi par vo khush rahein jinhein be-saakhta hansi aai ajab muamma hai 'musaa' tazaad-e-aalam-e-ishq zamaana rone lagaa aur mujhe hansi aai"
Mohammad MoosaMohammad Moosa
Quote
"vaah kyaa faizaan-e-chashm-e-nargis-e-mastaana thaa jis taraf nazrein uThin mai-khaana hi mai-khaana thaa vusat-e-kaunain mein dil bhi ajab kaashaana thaa kaaba kaa kaaba thaa aur but-khaana kaa but-khaana thaa dar-haqiqat saaraa aalam ishq se begaana thaa varna ye unvaan khud apni jagah afsaana thaa aah kab be-maaegi mein saath detaa hai koi jab suraahi ho gai khaali judaa paimaana thaa sab ki jaanib multafit the bazm mein mere sivaa un kaa ye andaaz bhi andaaz-e-maasumaana thaa sunte sunte un ki bhi aankhon mein aansu aa gae kis qadar dil-soz mere ishq kaa afsaana thaa tum ne jalvon se dil-e-'musaa' ko raushan kar diyaa varna is se peshtar taarik ye kaashaana thaa"
Mohammad MoosaMohammad Moosa
Quote
"na ho dil-shikasta koi vo nizaam chaahte hain nai subh chaahte hain nai shaam chaahte hain jo nigaah-e-muztarib ko kahin aur kaa na rakkhe vahi barq vo hi jalva sar-e-baam chaahte hain vo jo barguzida bande hain jahaan-e-aab-o-gil mein na numud chaahte hain na vo naam chaahte hain na gharaz hai but-kade se na haram se un ko matlab tire dar ke saamne hi jo qiyaam chaahte hain tiri chashm-e-mast se hai jinhein nisbat-e-khususi na vo baada chaahte hain na vo jaam chaahte hain vo navaa-e-sarmadi ho ki sadaa-e-qum-bi-izni jo naved-e-zindagi de vo payaam chaahte hain jise mehr-o-maah dekhein ba-nigaah-e-rashk 'musaa' rah-e-aashiqi mein ham to vo maqaam chaahte hain"
Mohammad MoosaMohammad Moosa
Quote
"ranj-o-raahat ke manaazir hain zamaane ham se naghma ham se hai fughaan ham se taraane ham se ham ne sachchaai se suuli ko ataa ki azmat yaani haq-goi ke zinda hain fasaane ham se ye kudurat ke pujaari ye taassub ke naqib aa ke le jaaein mohabbat ke khazaane ham se ham ne bujhne na diye ishq-o-mohabbat ke charaagh raushni paai hai duniyaa-e-vafaa ne ham se apne siine mein liye baiThe hain khurshid-jamaal kyaa milaaeinge nazar aaina-khaane ham se haram-o-dair se naakaam palaTne vaale puchhte hain tire milne ke Thikaane ham se sab hamein kahte hain divaana-e-ulfat 'musaa' gulshan aabaad hain sahraa hain suhaane ham se"
Mohammad MoosaMohammad Moosa
Quote
"fazaa-e-dahr mein bekaar divaane nahin aae samajhne aae hain duniyaa ko samjhaane nahin aae khudaavandaa na rakhnaa un buton se tu judaa ham ko ki ham jannat mein ulfat ki sazaa paane nahin aae zamin se aasmaan tak ek viraani si thi taari hudud-e-kun mein jab tak un ke divaane nahin aae ye un ki bazm hai kuchh teraa mai-khaana nahin saaqi yahaan apne nahin aae ki begaane nahin aae bahaaron ko chaman mein aae ik muddat hui lekin bahaarein jin pe qurbaan hon vo divaane nahin aae taDap kar rah gayaa dil be-hisi-e-ishq par aksar huzur-e-husn jab ulfat ke nazraane nahin aae sunaataa kis tarah rudaad-e-ulfat un ko ai 'musaa' ki roab-e-husn se honTon pe afsaane nahin aae"
Mohammad MoosaMohammad Moosa
Quote
"taDap ai dil ki phir tere taDapne kaa maqaam aaya muqaddar meraa ban kar rah gai hai tishnagi meri na saaqi ki nazar uTThi na mujh tak daur-e-jaam aaya shab-e-furqat junun-e-aarzu lamhaat-e-tanhaai dil-e-naakaam hi in maarkon mein mere kaam aaya huaa jis tarah bhi main ne guzaaraa roz-e-furqat ko vo aalam kyaa kahun ai ham-nashin jab vaqt-e-shaam aaya mire dil ne diyaa dars-e-haqiqat ahl-e-daanish ko ye divaana to thaa lekin khirad-mandon ke kaam aaya na jaanaa un ki mahfil mein baDi tauhin thi un ki musalsal un ki jaanib se salaam aaya payaam aaya"
Mohammad MoosaMohammad Moosa
Quote
"ai mohabbat dekh tauhin-e-shakebaai na ho meraa kuchh bhi hashr ho bas un ki rusvaai na ho ham se puchho jalva-e-be-rang ki ranginiyaan khaak dekheingi vo aankhein jin mein binaai na ho kis ne dastak di ye darvaaze pe jaa kar dekhnaa muzhda-e-fasl-e-bahaaraan subh-e-nau laai na ho ham-nashin parvarda-e-dard-o-alam hai meri zaat kaun si vo mauj hai jo mujh se Takraai na ho zindagi jaisaa na hogaa koi begaana-mizaaj ek muddat saath rah kar bhi shanaasaai na ho taazgi si hai havaaon mein fazaa mein naghmagi ham-qafas sehn-e-gulistaan mein bahaar aai na ho teraa 'musaa' ek aasi tu hai rahmaan-o-rahim yaa-ilaahi hashr ke din us ki rusvaai na ho"
Mohammad MoosaMohammad Moosa
Quote
"ham rah-e-shauq mein gir gir ke sanbhal jaaeinge vo nazar badli to haalaat badal jaaeinge nigah-e-shauq agar aa gai apni zid par sab hijaabaat tajalli mein badal jaaeinge meri taqdir mein aa jaaeinge uljhan ban kar jitne bal gesu-e-jaanaan ke nikal jaaeinge qaafile vaalon ko ye raaz bataa de koi rahnumaa badle to raste bhi badal jaaeinge mere ashkon se zaraa duur hi rahiye varna aap ke haath bhi is aag mein jal jaaeinge aur do-chaar qadam kijiye taklif-e-khiraam sar uThaate hue fitne bhi kuchal jaaeinge ye jo bad-mast-e-mai-e-aish-o-tarab hain 'musaa' Thokarein khaa ke zamaane ki sanbhal jaaeinge"
Mohammad MoosaMohammad Moosa