Shayari
un ke gunaah kyaa kahein kis kis ke sar gae
tum ko khabar nahin kai ustaad mar gae

Saghar Khayyami
Saghar Khayyami
un ke gunaah kyaa kahein kis kis ke sar gae
tum ko khabar nahin kai ustaad mar gae
hamaare laal ko darkaar hai vahi laDki
ki jis kaa baap police mein ho kam se kam deputy
dekhe jo qais husn to lailaa ko bhuul jaae
ham kyaa hain rish-e-hazrat-maulaanaa jhuul jaae
kaise kah duun sar par tere
biivi hai aaseb nahin hai
chehre to jhurriyon se bhare dil javaan hain
din mein hain shaikh raat mein salmaan-khaan hain
muddat hui hai bichhDe hue apne-aap se
dekhaa jo aaj tum ko to ham yaad aa gae
kitne chehre lage hain chehron par
kyaa haqiqat hai aur siyaasat kyaa
aam teri ye khush-nasibi hai
varna langDon pe kaun martaa hai
us vaqt mujh ko daavat-e-jaam-o-subu mili
jis vaqt main gunaah ke qaabil nahin rahaa
kaun kahtaa hai bulandi pe nahin huun 'saaghar'
meri me'raaj-e-mohabbat miri rusvaai hai
mahngaai ke zamaane mein bachchon ki rel-pel
aisaa na ho kamar tiri mahngaai toD de
urdu adab mein jo bhi hamaaraa maqaam hai
ustaad-e-mohtaram ke vo bheje kaa kaam hai