Shayari
aam teri ye khush-nasibi hai
varna langDon pe kaun martaa hai
muddat hui hai bichhDe hue apne-aap se
dekhaa jo aaj tum ko to ham yaad aa gae
مدت ہوئی ہے بچھڑے ہوئے اپنے آپ سے
دیکھا جو آج تم کو تو ہم یاد آ گئے
मुद्दत हुई है बिछड़े हुए अपने-आप से
देखा जो आज तुम को तो हम याद आ गए

aam teri ye khush-nasibi hai
varna langDon pe kaun martaa hai
kitne chehre lage hain chehron par
kyaa haqiqat hai aur siyaasat kyaa
us vaqt mujh ko daavat-e-jaam-o-subu mili
jis vaqt main gunaah ke qaabil nahin rahaa
kaun kahtaa hai bulandi pe nahin huun 'saaghar'
meri me'raaj-e-mohabbat miri rusvaai hai
chehre to jhurriyon se bhare dil javaan hain
din mein hain shaikh raat mein salmaan-khaan hain
hamaare laal ko darkaar hai vahi laDki
ki jis kaa baap police mein ho kam se kam deputy
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
chheDtaa kyuun hai khudaa ke liye sayyaad mujhe
nau-giraftaar huun aati nahin fariyaad mujhe
is se baDh kar tiri yaadon ki karun kyaa taazim
teri yaadon mein zamaane ko bhulaa rakkhaa hai
ai shab-e-hijraan ziyaada paanv phailaati hai kyuun
bhar gayaa jitnaa hamaari umr kaa paimaana thaa
buton ke saath li di si jo yaad-allaah baaqi hai
to kyaa shaikh-e-haram tere liye main chhoD duun vo bhi
sach hai 'nizaam' yaad bhi us ko na honge ham
par kyaa karein vo ham se bhulaayaa na jaaegaa