Shayari
tujh ko dekhaa nahin mahsus kiyaa hai main ne
aa kisi din mire ehsaas ko paikar kar de

Shahid Meer
Shahid Meer
tujh ko dekhaa nahin mahsus kiyaa hai main ne
aa kisi din mire ehsaas ko paikar kar de
aur kuchh bhi mujhe darkaar nahin hai lekin
meri chaadar mire pairon ke baraabar kar de
shajar ne lahlahaa kar aur havaa ne chuum kar mujh ko
tiri aamad ke afsaane sunaae jhuum kar mujh ko
pahle to chhin li miri aankhon ki raushni
phir aaine ke saamne laayaa gayaa mujhe
vahi saffaak havaaon kaa sadaf bante hain
jin darakhton kaa nikaltaa huaa qad hotaa hai
ganvaae baiThe hain aankhon ki raushni 'shaahid'
jahaan-panaah kaa insaaf dekhne vaale
rone se aur lutf vafaaon kaa baDh gayaa
sab zaaiqa phalon mein nae paaniyon kaa hai
bujhti hui si ek shabih zehn mein liye
miTti hui sitaaron ki saf dekhte rahe
khauf se ab yuun na apne ghar kaa darvaaza lagaa
tez hain kitni havaaein is kaa andaaza lagaa