Shayari
tum aasmaan ki bulandi se jald lauT aanaa
hamein zamin ke masaail pe baat karni hai

Shayar Jamali
Shayar Jamali
tum aasmaan ki bulandi se jald lauT aanaa
hamein zamin ke masaail pe baat karni hai
chhup gayaa eid kaa chaand nikal kar der hui par jaane kyon
nazrein ab tak Tiki hui hain masjid ke minaaron par
aur agar ho na sake kuchh bhi ujaalon ki sabil
ik charaagh apne lahu se hi jalaa dein ham log
yuun bhi kaT sakte hain ye tishna-labi ke lamhaat
baiTh kar bazm mein saaqi ko duaa dein ham log
jis ke saae mein taassub ki tapish shaamil ho
vaqt kahtaa hai vo divaar giraa dein ham log