Shayari
zarre mein gum hazaar sahraa
qatre mein muhit laakh qulzum

Tabish Dehlvi
Tabish Dehlvi
zarre mein gum hazaar sahraa
qatre mein muhit laakh qulzum
har raaste se manzil-e-hasti hai bahut duur
jaaegaa mire saath gham-e-yaar kahaan tak
shaahon ki bandagi mein sar bhi nahin jhukaayaa
tere liye saraapaa aadaab ho gae ham
abhi hain qurb ke kuchh aur marhale baaqi
ki tujh ko paa ke hamein phir tiri tamannaa hai
chhoTi paDti hai anaa ki chaadar
paanv Dhaktaa huun to sar khultaa hai
aaina jab bhi ru-ba-ru aayaa
apnaa chehra chhupaa liyaa ham ne
hoti hi nahin subh-e-qayaamat bhi numudaar
jaageinge shab-e-hijr ke bimaar kahaan tak
har roz ik aavaaza anal-haq kaa lagaaein
dekhein to ki hai silsila-e-daar kahaan tak