Shayari
barson pahle jis dariyaa mein utraa thaa
ab tak us ki gahraai hai aankhon mein

Tahir Azeem
Tahir Azeem
barson pahle jis dariyaa mein utraa thaa
ab tak us ki gahraai hai aankhon mein
taasir nahin rahti alfaaz ki bandish mein
main sach jo nahin kahtaa lahje kaa asar jaataa
tum hamaare khuun ki qimat na puchho
is mein apne zarf kaa arsa rakhaa hai
shahr ki is bhiiD mein chal to rahaa huun
zehn mein par gaanv kaa naqsha rakhaa hai
un baaton par mat jaanaa jo 'aam huiin
dekho kitni sachchaai hai aankhon mein
jo tire intizaar mein guzre
bas vahi intizaar ke din the
ye jo maazi ki baat karte hain
sochte honge haal se aage
mujh ko bhi haq hai zindagaani kaa
main bhi kirdaar huun kahaani kaa
soch apni zaat tak mahdud hai
zehn ki kyaa ye tabaahi kuchh nahin
main tire hijr mein jo zinda huun
sochtaa huun visaal se aage
main tire hijr ki giraft mein huun
ek sahraa hai mubtalaa mujh mein
jo bahut be-qaraar rakhte the
haan vahi to qaraar ke din the