Shayari
jo tiir aayaa gale mil ke dil se lauT gayaa
vo apne fan mein main apne hunar mein tanhaa thaa

Umar Ansari
Umar Ansari
jo tiir aayaa gale mil ke dil se lauT gayaa
vo apne fan mein main apne hunar mein tanhaa thaa
aksar huaa hai ye ki khud apni talaash mein
aage nikal gae hain had-e-maa-sivaa se bhi
baahar baahar sannaaTaa hai andar andar shor bahut
dil ki ghani basti mein yaaro aan base hain chor bahut
musaafiron se mohabbat ki baat kar lekin
musaafiron ki mohabbat kaa e'tibaar na kar
buraa sahi main pa niyat buri nahin meri
mire gunaah bhi kaar-e-savaab mein likhnaa
vo chup lagi hai ki hanstaa hai aur na rotaa hai
ye ho gayaa hai khudaa jaane dil ko raat se kyaa
taari hai har taraf jo ye aalam sukut kaa
tufaan kaa pesh-khema samajh khaamushi nahin
uThaa ye shor vahin se sadaaon kaa kyun-kar
vo aadmi to sunaa apne ghar mein tanhaa thaa
vahi diyaa ki thiin aajiz havaaein jin se 'umar'
kisi ke phir na jalaae jalaa bujhaa aisaa
chale jo dhuup mein manzil thi un ki
hamein to khaa gayaa saaya shajar kaa
us ik diye se hue kis qadar diye raushan
vo ik diyaa jo kabhi baam-o-dar mein tanhaa thaa
chhup kar na rah sakegaa vo ham se ki us ko ham
pahchaan leinge us ki kisi ik adaa se bhi