Shayari
gar qayaamat ye nahin hai to qayaamat kyaa hai
shahr jaltaa rahaa aur log na ghar se nikle

Ummeed Fazli
Ummeed Fazli
gar qayaamat ye nahin hai to qayaamat kyaa hai
shahr jaltaa rahaa aur log na ghar se nikle
sukut vo bhi musalsal sukut kyaa maani
kahin yahi tiraa andaaz-e-guftugu to nahin
sakun to jab ho ki main chhaanv sehn mein dekhun
nazar to vaise gali kaa shajar bhi aataa hai
aasmaanon se farishte jo utaare jaaein
vo bhi is daur mein sach bolein to maare jaaein
ai dopahar ki dhuup bataa kyaa javaab duun
divaar puchhti hai ki saaya kidhar gayaa
chaman mein rakhte hain kaanTe bhi ik maqaam ai dost
faqat gulon se hi gulshan ki aabru to nahin
ye sard raat ye aavaargi ye niind kaa bojh
ham apne shahr mein hote to ghar gae hote
kal us ki aankh ne kyaa zinda guftugu ki thi
gumaan tak na huaa vo bichhaDne vaalaa hai
jaane kis moD pe le aai hamein teri talab
sar pe suraj bhi nahin raah mein saayaa bhi nahin
ghar to aisaa kahaan kaa thaa lekin
dar-ba-dar hain to yaad aataa hai
ye khud-e-farebi-e-ehsaas-e-aarzu to nahin
tiri talaash kahin apni justuju to nahin
tiri talaash mein jaane kahaan bhaTak jaaun
safar mein dasht bhi aataa hai ghar bhi aataa hai