Shayari
zanjir zulf-e-siyaah samundar nigaah-e-shokh
jaaun kahaan faraar kaa rasta koi to ho

Yaseen Zameer
Yaseen Zameer
zanjir zulf-e-siyaah samundar nigaah-e-shokh
jaaun kahaan faraar kaa rasta koi to ho
mumkin hai ashk ban ke rahun chashm-e-yaar mein
mumkin hai bhuul jaae gham-e-rozgaar mein
har aankh ik savaal tahi-dast ke liye
kab tak marungaa mere khudaa baar baar main
kuchh vaqt apne saath guzaarungaa main 'zamir'
khud se agar milaa jo kabhi ku-e-yaar mein
kis se karun main apni tabaahi kaa ab gila
khud hi kamaan-ba-dast huun khud hi shikaar main
muddat hui hai dast-o-garebaan hue hamein
ummid naa-umidi khudaa rozgaar mein