SHAWORDS

aab-e-dariyaa huun pyaas bhi huun main — Poonam Meera

HomePoonam MeeraGhazal
"aab-e-dariyaa huun pyaas bhi huun main sab masaaib se ab bari huun main shab-nigahbaan ab tiri huun main surkh-ru rah ki jaagti huun main har varaq par milegi pyaas tumhein ek rudaad-e-tishnagi huun main vasl kuchh yuun bhi hai takhayyul mein hijr ke giit gaa rahi huun main kal amiri thi main masarrat ki aaj daulat ki muflisi huun main main huun ik munhadim saa darvaaza daastaan intizaar ki huun main vo sitaaraa hai shaam kaa avval raat ki aakhiri ghaDi huun main jo sadaa ku-e-jaan se aati hai us ko duniyaa mein DhunDhti huun main saahib-e-raushni hai vo 'miraa' dam-ba-dam ek tirgi huun main"
Urdu

آب دریا ہوں پیاس بھی ہوں میں سب مصائب سے اب بری ہوں میں شب نگہبان اب تری ہوں میں سرخ رو رہ کہ جاگتی ہوں میں ہر ورق پر ملے گی پیاس تمہیں ایک روداد تشنگی ہوں میں وصل کچھ یوں بھی ہے تخیل میں ہجر کے گیت گا رہی ہوں میں کل امیری تھی میں مسرت کی آج دولت کی مفلسی ہوں میں میں ہوں اک منہدم سا دروازہ داستاں انتظار کی ہوں میں وہ ستارا ہے شام کا اول رات کی آخری گھڑی ہوں میں جو سدا کوئے جاں سے آتی ہے اس کو دنیا میں ڈھونڈھتی ہوں میں صاحب روشنی ہے وہ میراؔ دم بہ دم ایک تیرگی ہوں میں

Hindi

आब-ए-दरिया हूँ प्यास भी हूँ मैं सब मसाइब से अब बरी हूँ मैं शब-निगहबान अब तिरी हूँ मैं सुर्ख़-रू रह कि जागती हूँ मैं हर वरक़ पर मिलेगी प्यास तुम्हें एक रूदाद-ए-तिश्नगी हूँ मैं वस्ल कुछ यूँ भी है तख़य्युल में हिज्र के गीत गा रही हूँ मैं कल अमीरी थी मैं मसर्रत की आज दौलत की मुफ़लिसी हूँ मैं मैं हूँ इक मुंहदिम सा दरवाज़ा दास्ताँ इंतिज़ार की हूँ मैं वो सितारा है शाम का अव्वल रात की आख़िरी घड़ी हूँ मैं जो सदा कू-ए-जाँ से आती है उस को दुनिया में ढूँढती हूँ मैं साहिब-ए-रौशनी है वो 'मीरा' दम-ब-दम एक तीरगी हूँ मैं

āb-e-dariyā huuñ pyaas bhī huuñ maiñ
P
Poonam Meera
Poonam Meera
poet7 quotes

More by Poonam Meera

View all →
Quote
"junun se zikr se hasrat se aur ibaadat se ab is ke baad tujhe chaaheinge mohabbat se vo shai bhi khaak hui jo falak se utri thi bachaa hai kaun yahaan par nizaam-e-qudrat se tire ishaare pe laazim nahin thaa mar jaanaa magar miTe hain tiri chaahaton mein shiddat se tamaam raat guzaari hai maah-o-anjum mein ai subh mujh se zaraa pesh aa mohabbat se barasne aaegaa bin-barse lauT jaaegaa ye abr baaz na aaegaa apni aadat se is intizaar mein gar jaan gai to mumkin hai mile savaab hamein aajizi ki nisbat se banaane vaale ne bas naqsh hi banaae the ye rang nikle hain 'miraa' tumhaari hairat se"
P
Poonam Meera
Quote
"us ke insaan ko jagaanaa hai ek patthar ko ab rulaanaa hai yaa kisi khvaab yaa kisi dil mein aur apnaa kahaan Thikaanaa hai hasb-e-maamul maut aaegi hasb-e-maamul ham ko jaanaa hai jis ko dil se nikaal pheinkaa hai ab use DhunDne bhi jaanaa hai ek aavaargi kaa qissa hai dasht ko raat bhar sunaanaa hai dekhnaa dur-dur se us ko khel achchhaa hai par puraanaa hai ik hazin khvaab do hasin aankhein aur kyaa zindagi se paanaa hai ab jo dil ki khalaa mein utre hain ek divaar ko uThaanaa hai zindagi ek chhoTi si rudaad milte jaanaa bichhaDte jaanaa hai duur se dekhnaa hai hasrat ko faasla darmiyaan bichhaanaa hai vaqt kaa sab kiyaa dharaa 'miraa' ye khizaaein to ik bahaanaa hai"
P
Poonam Meera
Quote
"dasht aankhon mein thaa aavaaz mein viraani thi khaa gayaa shahr use kahte hain divaani thi lams ik dhuup kaa kaafi thaa samajh jaane ko barf thaa jism magar ruh-e-ravaan paani thi jab talak ishq sunaataa rahaa ham sunte rahe baad is ke to kahaani baDi be-maani thi ek lahze mein nazar aa gayaa thaa sach ham ko ziist aankhon se guzarti hui uryaani thi dekhte dekhte aankhon mein utar aai thi har nazaare mein nihaan ik nai hairaani thi main ne khud par kabhi hone na di zaahir lekin mujh mein teri kami har shakhs ne pahchaani thi tum ne bekaar hi haathon ko jalaayaa 'miraa' aag kuchh der mein vaise bhi to bujh jaani thi"
P
Poonam Meera

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari