SHAWORDS

aaj phir dard jigar se guzraa — Naresh Shandilya

"aaj phir dard jigar se guzraa ek saagar jyuun bhanvar se guzraa tar-ba-tar yaad liye ik baadal DabDabaayaa saa nazar se guzraa dar pe un ke bhi paDi thi saankal aaj kaisaa main udhar se guzraa gum-shuda gaanv liye khvaabon mein main haqiqat ke nagar se guzraa ek charchaa thi meri barbaadi aaj jab jab main jidhar se guzraa"
Urdu

آج پھر درد جگر سے گزرا ایک ساگر جیوں بھنور سے گزرا تر بہ تر یاد لئے اک بادل ڈبڈبایا سا نظر سے گزرا در پہ ان کے بھی پڑی تھی سانکل آج کیسا میں ادھر سے گزرا گمشدہ گاؤں لئے خوابوں میں میں حقیقت کے نگر سے گزرا ایک چرچا تھی میری بربادی آج جب جب میں جدھر سے گزرا

Hindi

आज फिर दर्द जिगर से गुज़रा एक सागर ज्यूँ भँवर से गुज़रा तर-ब-तर याद लिए इक बादल डबडबाया सा नज़र से गुज़रा दर पे उन के भी पड़ी थी साँकल आज कैसा मैं उधर से गुज़रा गुम-शुदा गाँव लिए ख़्वाबों में मैं हक़ीक़त के नगर से गुज़रा एक चर्चा थी मेरी बर्बादी आज जब जब मैं जिधर से गुज़रा

aaj phir dard jigar se guzrā
Naresh Shandilya
Naresh Shandilya
Naresh Shandilya
poet8 quotes

More by Naresh Shandilya

View all →
Quote
"shama ki bazm mein aise hi parvaana nahin aataa nahin hoti agar jurat to divaana nahin aataa nasihat de rahe hain peD se jhaDte hue patte jise khonaa nahin aataa use paanaa nahin aataa nahin to mujh ko bhi hote tire rukhsaar-o-lab aasaan mujhe zulfon ke pechon saa yuun bal khaanaa nahin aataa tere chehre pe ik muskaan ik muskaan lagti hai kisi ko bhi tiri maanind muskaanaa nahin aataa tujhe main pyaar kartaa huun tujhe jatlaaun par kaise tu hi jaane to jaane mujh ko jatlaanaa nahin aataa"
Naresh ShandilyaNaresh Shandilya

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer