SHAWORDS

aane vaali sadi ke lagte hain — Deepak Qamar

HomeDeepak QamarGhazal
"aane vaali sadi ke lagte hain pankh ujle pari ke lagte hain baad muddat ke shahr ki chhat par kuchh sitaare khushi ke lagte hain Duubi kashti ke tairte chappu hausle zindagi ke lagte hain haath khuni kisi darinde ke paanv to aadmi ke lagte hain koi chehra bhi chhu nahin paate aks sab aarsi ke lagte hain yuun utarti hain dil mein vo nazrein bol se khaamushi ke lagte hain haath pe haath dhar ke baiThi shaam rang ye bebasi ke lagte hain"
Urdu

آنے والی صدی کے لگتے ہیں پنکھ اجلے پری کے لگتے ہیں بعد مدت کے شہر کی چھت پر کچھ ستارے خوشی کے لگتے ہیں ڈوبی کشتی کے تیرتے چپو حوصلے زندگی کے لگتے ہیں ہاتھ خونی کسی درندے کے پاؤں تو آدمی کے لگتے ہیں کوئی چہرہ بھی چھو نہیں پاتے عکس سب آرسی کے لگتے ہیں یوں اترتی ہیں دل میں وہ نظریں بول سے خامشی کے لگتے ہیں ہاتھ پہ ہاتھ دھر کے بیٹھی شام رنگ یہ بے بسی کے لگتے ہیں

Hindi

आने वाली सदी के लगते हैं पँख उजले परी के लगते हैं बा'द मुद्दत के शहर की छत पर कुछ सितारे ख़ुशी के लगते हैं डूबी कश्ती के तैरते चप्पू हौसले ज़िंदगी के लगते हैं हाथ ख़ूनी किसी दरिंदे के पाँव तो आदमी के लगते हैं कोई चेहरा भी छू नहीं पाते अक्स सब आरसी के लगते हैं यूँ उतरती हैं दिल में वो नज़रें बोल से ख़ामुशी के लगते हैं हाथ पे हाथ धर के बैठी शाम रंग ये बेबसी के लगते हैं

aane vaalī sadī ke lagte haiñ
Deepak Qamar
Deepak Qamar
Deepak Qamar
poet14 quotes

More by Deepak Qamar

View all →
Quote
"aag ke phuul pe shabnam ke nishaan DhunDoge tum haqiqat ke liye vahm-o-gumaan DhunDoge kaun si aas mein ye saaraa jahaan DhunDoge ek aavaara si khushbu ko kahaan DhunDoge saath kuchh roz kaa hai raasta chalte logo ham chale jaaeinge qadmon ke nishaan DhunDoge tiir tarkash mein agar bach bhi gae to kyaa hai mil na paaegi kahin apni kamaan DhunDoge raat ki god mein khushiyon ke sitaare bhar lo phir to suraj ko liye aisaa samaan DhunDoge jab chale jaaeinge banjaare bahaarein le kar phuul vaalon ki nagar bhar mein dukaan DhunDoge is saraae se nikal aage baDhoge jab bhi chaand taaron se pare apnaa makaan DhunDoge"
Deepak QamarDeepak Qamar
Quote
"har parinde ki baat suntaa hai be-zabaan peD sab se achchhaa hai jis qadar ham ne bhed samjhaa hai koi manzil na koi rasta hai in andheron ko kis liye kosein raushni ban ke phuul khiltaa hai chalne vaalaa nikal gayaa aage qaafila raaste mein Thahraa hai jis ki khaatir hain jaagte rahe ham vo abhi paalne mein sotaa hai in dinon main huun tanhaa tanhaa saa ek gum-sum khayaal rahtaa hai be-gharon ke qadam nahin rukte un kaa aangan tamaam duniyaa hai dil bahaltaa hujum mein rah kar khud se Dartaa huaa vo tanhaa hai kal ki baaton se be-khabar ham hain saat janmon kaa kyaa bharosaa hai"
Deepak QamarDeepak Qamar
Quote
"nazar aayaa na koi bhi idhar dekhaa udhar dekhaa vahaan pahunche to apne aap ko bhi be-nazar dekhaa ye dhokaa thaa nazar kaa yaa farishta sabz chaadar mein kahin sahraa mein lahraataa huaa us ne shajar dekhaa kahin pe jism aur pahchaan donon raah mein chhoDe khud apne aap ko ham ne na apnaa ham-safar dekhaa bane kyaa aashiyaan taaza havaa na peD ke jhurmuT kisi uDte parinde ne nae yug kaa nagar dekhaa lage the aaine chaaron taraf shaayad mohabbat ke nazar ke saamne thaa bas vahi ham ne jidhar dekhaa zamin ki sej par saae ki chaadar oDh kar soyaa kisi banjaare sailaani ne raste mein hi ghar dekhaa kabhi ham Duub jaaeinge isi mein sochte har dam hamaare dil ne jab dekhaa habaabon kaa bhanvar dekhaa"
Deepak QamarDeepak Qamar

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari