SHAWORDS

aankhon ki takraar agar ho jaae to — Khushboo Saxena

"aankhon ki takraar agar ho jaae to dil par dil kaa vaar agar ho jaae to main to us ki prem pujaaran huun lekin us ko mujh se pyaar agar ho jaae to duniyaa-daari saari dil ki badaulat hai socho dil bimaar agar ho jaae to darvaaze ban jaate hain divaaron mein darvaaza divaar agar ho jaae to maanaa apne honTon ko si loge tum chehra hi akhbaar agar ho jaae to ghar se baahar jaa kar jashn manaaoge ghar mein hi tyauhaar agar ho jaae to"
Urdu

آنکھوں کی تکرار اگر ہو جائے تو دل پر دل کا وار اگر ہو جائے تو میں تو اس کی پریم پجارن ہوں لیکن اس کو مجھ سے پیار اگر ہو جائے تو دنیا داری ساری دل کی بدولت ہے سوچو دل بیمار اگر ہو جائے تو دروازے بن جاتے ہیں دیواروں میں دروازہ دیوار اگر ہو جائے تو مانا اپنے ہونٹوں کو سی لو گے تم چہرہ ہی اخبار اگر ہو جائے تو گھر سے باہر جا کر جشن مناؤ گے گھر میں ہی تیوہار اگر ہو جائے تو

Hindi

आँखों की तकरार अगर हो जाए तो दिल पर दिल का वार अगर हो जाए तो मैं तो उस की प्रेम पुजारन हूँ लेकिन उस को मुझ से प्यार अगर हो जाए तो दुनिया-दारी सारी दिल की बदौलत है सोचो दिल बीमार अगर हो जाए तो दरवाज़े बन जाते हैं दीवारों में दरवाज़ा दीवार अगर हो जाए तो माना अपने होंटों को सी लोगे तुम चेहरा ही अख़बार अगर हो जाए तो घर से बाहर जा कर जश्न मनाओगे घर में ही त्यौहार अगर हो जाए तो

āñkhoñ kī takrār agar ho jaa.e to
Khushboo Saxena
Khushboo Saxena
Khushboo Saxena
poet9 quotes

More by Khushboo Saxena

View all →
Quote
"ai mere haath ke kangan khanak aahista aahista dhaDak ai dil dhaDak lekin dhaDak aahista aahista miri aankhon mein chubhti hai ziyaada raushni ho to ai jugnu sun damak lekin damak aahista aahista zamaane baad aayaa hai kisi kaa aks aankhon mein ai shaakh-e-gul mahak lekin mahak aahista aahista kabhi zid hi nahin karti koi hasrat mire dil ki machalti hai magar man ki lalak aahista aahista bharosa kijiye us par usi ki mehrbaani se chali aati hai chehre par chamak aahista aahista ye titli phuul par baiThi hai to baiThi bhi rahne de havaa palkein jhapak lekin jhapak aahista aahista"
Khushboo SaxenaKhushboo Saxena

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud