"vahi aashiq hai qaatil kaa na jo shaaki vahaan hogaa jise daar-e-jazaa samjhe hain daar-e-imtihaan hogaa judaa sab aalamon se ek din teraa jahaan hogaa mohabbat ki zamin hogi vafaa kaa aasmaan hogaa na main dair-o-haram samjhun na main arsh-o-iram jaanun jahaan sajde ko dil jhuk jaae teraa aastaan hogaa umidein dil ki vaabasta hain maidaan-e-qayaamat se na us jaa ye zamin hogi na vaan ye aasmaan hogaa chhuDaayaa jis ne daaman kaash us ko ye khabar hoti ki unvaan-e-qayaamat dard-e-dil ki daastaan hogaa vo jannat hai jo zaahid ke safar ki aakhiri manzil usi mein pahli manzil par hamaaraa kaarvaan hogaa asiri mein giri hain aah laakhon bijliyaan dil par jahaan bijli giri samjhe hamaaraa aashiyaan hogaa firaaq-e-jaavedaani intiqaam-e-vasl-e-jaanaan hai magar sadqe tire jaane bhi de ai aasmaan hogaa fasaana dahr-o-gulzaar-o-bahaar-o-gul kaa rahne de agar kuchh hai bhi ai 'bekhud' sivaae aashiyaan hogaa"
aankhon par aah-e-yaas kaa parda saa paD gayaa — Bekhud Mohani
"aankhon par aah-e-yaas kaa parda saa paD gayaa duniyaa ujaD gai ki miraa dil ujaD gayaa allaah kaisaa tafraqa marne se paD gayaa main ek saath saare jahaan se bichhaD gayaa ab soz-e-dil ke naaz uThaae na jaaeinge aansu jahaan giraa vahin naasur paD gayaa marnaa paDaa kise tire zauq-e-gunaah se ai dil khabar bhi hai koi ghairat se gaD gayaa aankhon mein ab to aur bhi phirtaa hai aashiyaan haan sun liyaa bahaar kaa khema ukhaD gayaa vaqt-e-vidaaa dil pe kuchh aisi guzar gai ab tak khabar nahin ki main kis se bichhaD gayaa vo kaun aur chiiz hai aashiq kaa dil nahin jis dil mein ban ke naqsh-e-tamannaa bigaD gayaa qudrat ne haath chuum liye us ke vajd mein jo naqsh-e-kaaenaat par aaina jaD gayaa duniyaa karaahne ki sadaa ban ke rah gai main dil ko marte dekh ke aafat mein paD gayaa"
آنکھوں پر آہ یاس کا پردہ سا پڑ گیا دنیا اجڑ گئی کہ مرا دل اجڑ گیا اللہ کیسا تفرقہ مرنے سے پڑ گیا میں ایک ساتھ سارے جہاں سے بچھڑ گیا اب سوز دل کے ناز اٹھائے نہ جائیں گے آنسو جہاں گرا وہیں ناسور پڑ گیا مرنا پڑا کسے ترے ذوق گناہ سے اے دل خبر بھی ہے کوئی غیرت سے گڑ گیا آنکھوں میں اب تو اور بھی پھرتا ہے آشیاں ہاں سن لیا بہار کا خیمہ اکھڑ گیا وقت وداع دل پہ کچھ ایسی گزر گئی اب تک خبر نہیں کہ میں کس سے بچھڑ گیا وہ کون اور چیز ہے عاشق کا دل نہیں جس دل میں بن کے نقش تمنا بگڑ گیا قدرت نے ہاتھ چوم لئے اس کے وجد میں جو نقش کائنات پر آئینہ جڑ گیا دنیا کراہنے کی صدا بن کے رہ گئی میں دل کو مرتے دیکھ کے آفت میں پڑ گیا
आँखों पर आह-ए-यास का पर्दा सा पड़ गया दुनिया उजड़ गई कि मिरा दिल उजड़ गया अल्लाह कैसा तफ़रक़ा मरने से पड़ गया मैं एक साथ सारे जहाँ से बिछड़ गया अब सोज़-ए-दिल के नाज़ उठाए न जाएँगे आँसू जहाँ गिरा वहीं नासूर पड़ गया मरना पड़ा किसे तिरे ज़ौक़-ए-गुनाह से ऐ दिल ख़बर भी है कोई ग़ैरत से गड़ गया आँखों में अब तो और भी फिरता है आशियाँ हाँ सुन लिया बहार का ख़ेमा उखड़ गया वक़्त-ए-विदाअ' दिल पे कुछ ऐसी गुज़र गई अब तक ख़बर नहीं कि मैं किस से बिछड़ गया वो कौन और चीज़ है आशिक़ का दिल नहीं जिस दिल में बन के नक़्श-ए-तमन्ना बिगड़ गया क़ुदरत ने हाथ चूम लिए उस के वज्द में जो नक़्श-ए-काएनात पर आईना जड़ गया दुनिया कराहने की सदा बन के रह गई मैं दिल को मरते देख के आफ़त में पड़ गया

More by Bekhud Mohani
View all →"peshaani-e-mohabbat jhuk jaae jis zamin par kaabe kaa zikr kyaa hai bas ho khudaa vahin par thaa vahshi-e-adaa kaa naqsh-e-qadam yahin par peshaani-e-malak phir jhukti na kyon zamin par ik umr marte jiite guzri hai tere chalte jab miT chalaa tabassum bal aa chukaa jabin par aflaak par zamin hi bhaari rahi hamesha baalaa-e-arsh saajid masjud thaa zamin par hon laakh hashr to bhi kam ho na us ki lazzat donon jahaan sadqe zaalim tiri nahin par rahtaa hai yuun baraabar bim-o-rajaa kaa palla pyaari hansi labon par qaatil shikan jabin par mahshar se kyon main puchhun dil se na puchh dekhun sajde kaa ye nishaan hai yaa daagh hai jabin par hon laakh hashr to bhi ghaTti nahin kahin par lazzat tiri nahin ki sadqe tiri nahin par is gul ke aage dil ne jannat ko daagh paayaa uf zakhm ki bahaarein divaane ki jabin par guzri hai umr 'bekhud' rote lahu ke aansu fard-e-amal kaa dhokaa ho kyon na aastin par"
"jab naaz-e-ishq husn ke qaabil nahin rahaa phir vo kuchh aur hi hai miraa dil nahin rahaa kahti hai dil ke haal pe ghabraa ke be-khudi ye aap mein bhi aane ke qaabil nahin rahaa ik jalva pesh pesh hai aur baDh rahe hain ham ab kuchh khayaal-e-duri-e-manzil nahin rahaa duniyaa yahi hai shak hai to is ko miTaa ke dekh phir kuchh nahin jahaan mein jab dil nahin rahaa puuri jazaa milegi isi dil ko hashr mein jis ko khayaal-e-shikva-e-qaatil nahin rahaa tamkin ghazab hai saaqi-e-daur-e-alast mein shaayad khayaal-e-garmi-e-mahfil nahin rahaa duniyaa se puchh dekh koi zarra dahr kaa tazin-e-kaaenaat se ghaafil nahin rahaa zinat pe kaaenaat ki jaane lagi nazar ab main tire khayaal ke qaabil nahin rahaa bas kar ujaD chuki hain umangon ki bastiyaan duniyaa mein shaad aaj koi dil nahin rahaa afsurdagi ki jaan hai aazurdagi ki ruuh jo valvalon ki jaan thaa vo dil nahin rahaa hai kal ki baat thaa yahi duniyaa-e-husn-o-ishq viraana-e-malaal hai ab dil nahin rahaa 'bekhud' kisi ke naaz-e-dui-soz ki qasam kaisi nazar khayaal bhi haail nahin rahaa"
"aalam ko us ne naqsh-e-kaf-e-paa banaa diyaa yaani banaa diyaa kabhi gaahe miTaa diyaa hoti na taab-e-jalva-e-pinhaan kalim ko kyon tu ne parda-e-rukh-e-zebaa uThaa diyaa puchhaa jo us se hasti-e-aalam ke raaz ko zaalim ne apnaa naqsh-e-kaf-e-paa dikhaa diyaa ham ibtidaa-e-soz-e-mohabbat mein jal bujhe vo shama hain ki shaam se mujh ko bujhaa diyaa goyaa ki ham bhi naqsh-e-tamannaa-e-ghair the banne na paae the ki kisi ne miTaa diyaa"
"kyon ai khayaal-e-yaar tujhe kyaa khabar nahin main kyon bataaun dard kidhar hai kidhar nahin nashtar kaa kaam kyaa hai ab achchhaa hai dard-e-dil sadqe tire nahin nahin ai chaaraagar nahin kahti hai ahl-e-zauq se betaabi-e-khayaal jis mein ye iztiraab ki khu ho bashar nahin divaangaan-e-ishq pe kyaa jaane kyaa bani vaaraftagi-e-husn ko apni khabar nahin duniyaa-e-dard dil hai to duniyaa-e-shauq ruuh hon aur bhi jahaan mujhe kuchh bhi khabar nahin sahraa-e-ishq-o-hasti-e-mauhum-o-raaz-e-husn in manzilon mein dil saa koi raahbar nahin har zarra jis se ik dil-e-muztar na ban sake vo koi aur chiiz hai teri nazar nahin is be-dili se kahne kaa 'bekhud' maaal kyaa alfaaz kuchh hain jama maaani magar nahin"
"uf intihaa-e-shauq mein ab kyaa kare koi kahte hain pahle apni tamanna kare koi bedaad-e-husn ye hai to phir kyaa kare koi rusvaaiyon ke baad bhi parda kare koi tum bhi kaho to dil ko bataa dein ab us kaa haal ab vaqt vo nahin hai ki parda kare koi khul jaaein husn-o-ishq ki nairangiyon ke raaz dekhun jo phir kisi ki tamanna kare koi bad-naamiyaan nasib mein hain sab ke varna yaan koi na kuchh miTaae na paidaa kare koi kuchh aisaa haal hai kisi bimaar-e-ishq kaa vo khud bhi kah rahe hain ki ab kyaa kare koi jhalkegaa ikhtiyaar mein mahbubiyon kaa rang meri nazar se gul kaa tamaashaa kare koi zarron mein gunjti hai sadaa-e-shikast-e-dil hai shart gosh-e-dil ko magar vaa kare koi jab kuchh samajhne dein na kisi ki tajalliyaan phir kyon mire khayaal ko rusvaa kare koi hai zarra zarra mahshar-e-aashob-e-shauq-e-der ab vaqt aagyaa hai ki pardaa kare koi gum ho chuki hai qudrat-e-abdaa-e-aarzu 'bekhud' harim-e-naaz to hai kyaa kare koi"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"