SHAWORDS

abhi lataafat-e-urdu zabaan baaqi hai — Kaleem Jazil

HomeKaleem JazilGhazal
"abhi lataafat-e-urdu zabaan baaqi hai vo baankpan vo kalaam-o-bayaan baaqi hai mohabbaton mein jo rahti hai faasle ki lakir abhi vo tere mire darmiyaan baaqi hai nikal ke dekh to baazaar-e-zindagi mein zaraa mohabbaton ki hazaaron dukaan baaqi hai tu dekh le to tiri aankh bhi chhalak uTThe badan pe zakhm kaa saaraa nishaan baaqi hai mujhe ho khauf bhalaa kyon siyaah raaton kaa tire khayaal kaa raushan jahaan baaqi hai kitaab-e-ishq-o-mohabbat mein aaj bhi 'jaazil' visaal-o-hijr ki ik daastaan baaqi hai"
Urdu

ابھی لطافت اردو زبان باقی ہے وہ بانکپن وہ کلام و بیان باقی ہے محبتوں میں جو رہتی ہے فاصلے کی لکیر ابھی وہ تیرے مرے درمیان باقی ہے نکل کے دیکھ تو بازار زندگی میں ذرا محبتوں کی ہزاروں دکان باقی ہے تو دیکھ لے تو تری آنکھ بھی چھلک اٹھے بدن پہ زخم کا سارا نشان باقی ہے مجھے ہو خوف بھلا کیوں سیاہ راتوں کا ترے خیال کا روشن جہان باقی ہے کتاب عشق و محبت میں آج بھی جاذلؔ وصال و ہجر کی اک داستان باقی ہے

Hindi

अभी लताफ़त-ए-उर्दू ज़बान बाक़ी है वो बाँकपन वो कलाम-ओ-बयान बाक़ी है मोहब्बतों में जो रहती है फ़ासले की लकीर अभी वो तेरे मिरे दरमियान बाक़ी है निकल के देख तो बाज़ार-ए-ज़िंदगी में ज़रा मोहब्बतों की हज़ारों दुकान बाक़ी है तू देख ले तो तिरी आँख भी छलक उठ्ठे बदन पे ज़ख़्म का सारा निशान बाक़ी है मुझे हो ख़ौफ़ भला क्यों सियाह रातों का तिरे ख़याल का रौशन जहान बाक़ी है किताब-ए-इश्क़-ओ-मोहब्बत में आज भी 'जाज़िल' विसाल-ओ-हिज्र की इक दास्तान बाक़ी है

abhī latāfat-e-urdu zabān baaqī hai
Kaleem Jazil
Kaleem Jazil
Kaleem Jazil
poet6 quotes

More by Kaleem Jazil

View all →
Quote
"masti-bhari vo shaam suhaani uThaa ke laa jaa mai-kade se meri javaani uThaa ke laa dil ki umang vasl ki khushbu ke vaaste baagh-e-vafaa se raat ki raani uThaa ke laa baatil se tujh ko maarka karnaa hai gar yahaan chhoDi hui salaf ki nishaani uThaa ke laa ai bulbul-e-chaman tujhe shohrat jo chaahiye jaa us ke lab ki shokh-bayaani uThaa ke laa divaar-e-dil ki shaan baDhaane ke vaaste tasvir us ki koi puraani uThaa ke laa mahfil mein hongi teri paziraaiyaan bahut 'jaazil' tu apni guzri kahaani uThaa ke laa"
Kaleem JazilKaleem Jazil
Quote
"chaman ki taazgi phulon ki dil-kashi le kar tire dayaar mein aaya huun zindagi le kar jo kar rahaa hai ikaTThaa mataa-e-hasti to vahaan na jaaegaa sun le tu ek bhi le kar ragon mein dauD rahi hai siyaahi nafrat ki chale bhi aao mohabbat ki raushni le kar navaaz deinge to ehsaan aap kaa hogaa main TuuTi phuTi yahaan aaya shaaeri le kar zamaana dekhne lagtaa hai shak ki nazron se koi nikaltaa nahin lab pe ab hansi le kar kisi se kuchh nahin kahtaa hai apne dil ki baat bhaTak rahaa hai vo honTon pe khaamushi le kar andhere paanv pasaareinge kis tarah 'jaazil' mohabbaton ki main niklaa huun chaandni le kar"
Kaleem JazilKaleem Jazil
Quote
"ye sahraa-e-mohabbat hai yahaan saaya nahin koi guzarte jaa rahe hain sab magar ruktaa nahin koi tumhin se meri vaabasta bahaar-e-zindagaani thi tumhaare baad in aankhon mein ab jachtaa nahin koi chalo chal kar nai duniyaa koi aabaad karte hain ki mazlumon ki fariyaadein yahaan suntaa nahin koi mohabbat kab kisi ko is jahaan mein raas aai hai tumhaari bevafaai kaa mujhe shikva nahin koi bayaabaan ki tarah lagti hain jab khaamosh rahti hain chhalak jaae to in aankhon saa phir dariyaa nahin koi vatan pe jaan-nisaari kaa to daavaa log karte hain kisi mein jaan luTaane kaa magar jazba nahin koi sabhi aasuda rahte hain sukun ki niind sote hain hamaare shahr mein 'jaazil' abhi bhukaa nahin koi"
Kaleem JazilKaleem Jazil
Quote
"na ye badlaa na vo badlaa na ye dil kaa jahaan badlaa agar badlaa yahaan kuchh to faqat vo mehrbaan badlaa tumhein bhi chain ki nindein yahaan sone nahin deingi agar ajdaad kaa tum ne zaraa saa bhi nishaan badlaa zamaane mein bahut aaya taghayyur dosto lekin zamin jaisi ki taisi hai na rang-e-aasmaan badlaa abhi tak log qaaem hain unhin jhuTi rivaayat par tumhaari haq-bayaani se koi aakhir kahaan badlaa hamesha jis ke honTon par mohabbat ki rahin baatein khudaa jaane ki kyon us kaa hai andaaz-e-bayaan badlaa qadam aage baDhaataa hi rahaa main sakht raahon par na himmat hi miri TuuTi na ye azm-e-javaan badlaa hai un ko aaj bhi 'jaazil' vafaadaari pe shak lekin na ham ne shaakh-e-gul chhoDi na ham ne aashiyaan badlaa"
Kaleem JazilKaleem Jazil

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb