SHAWORDS

ahl-e-jahaan harif hamaare hue to kyaa — Khalid Nadeem Budauni

"ahl-e-jahaan harif hamaare hue to kyaa ham bhi hain aaj vaqt ke maare hue to kyaa mehraab-o-dar ko phir bhi ujaale nahin nasib aangan mein mere chaand sitaare hue to kyaa dil jab hamaaraa khaana-e-viraan ho gayaa us vaqt puure khvaab hamaare hue to kyaa ab diid ki talab hai na milne ki aarzu un ki taraf se laakh ishaare hue to kyaa phulon mein dilkashi hai na kaliyon pe hai nikhaar rangin gulsitaan ke nazaare hue to kyaa taabindagi nigaah ki jab mar ke rah gai ab aaein vo naqaab utaare hue to kyaa haaraa nahin huun ab bhi mohabbat ki jang main raah-e-vafaa mein mujh ko khasaare hue to kyaa saahil pe le ke jaaegaa 'khaalid' tumhaaraa azm dariyaa ke duur tum se kinaare hue to kyaa"
Urdu

اہل جہاں حریف ہمارے ہوئے تو کیا ہم بھی ہیں آج وقت کے مارے ہوئے تو کیا محراب و در کو پھر بھی اجالے نہیں نصیب آنگن میں میرے چاند ستارے ہوئے تو کیا دل جب ہمارا خانۂ ویران ہو گیا اس وقت پورے خواب ہمارے ہوئے تو کیا اب دید کی طلب ہے نہ ملنے کی آرزو ان کی طرف سے لاکھ اشارے ہوئے تو کیا پھولوں میں دل کشی ہے نہ کلیوں پہ ہے نکھار رنگین گلستاں کے نظارے ہوئے تو کیا تابندگی نگاہ کی جب مر کے رہ گئی اب آئیں وہ نقاب اتارے ہوئے تو کیا ہارا نہیں ہوں اب بھی محبت کی جنگ میں راہ وفا میں مجھ کو خسارے ہوئے تو کیا ساحل پہ لے کے جائے گا خالدؔ تمہارا عزم دریا کے دور تم سے کنارے ہوئے تو کیا

Hindi

अहल-ए-जहाँ हरीफ़ हमारे हुए तो क्या हम भी हैं आज वक़्त के मारे हुए तो क्या मेहराब-ओ-दर को फिर भी उजाले नहिं नसीब आँगन में मेरे चाँद सितारे हुए तो क्या दिल जब हमारा ख़ाना-ए-वीरान हो गया उस वक़्त पूरे ख़्वाब हमारे हुए तो क्या अब दीद की तलब है न मिलने की आरज़ू उन की तरफ़ से लाख इशारे हुए तो क्या फूलों में दिलकशी है न कलियों पे है निखार रंगीन गुल्सिताँ के नज़ारे हुए तो क्या ताबिंदगी निगाह की जब मर के रह गई अब आएँ वो नक़ाब उतारे हुए तो क्या हारा नहीं हूँ अब भी मोहब्बत की जंग मैं राह-ए-वफ़ा में मुझ को ख़सारे हुए तो क्या साहिल पे ले के जाएगा 'ख़ालिद' तुम्हारा अज़्म दरिया के दूर तुम से किनारे हुए तो क्या

ahl-e-jahāñ harīf hamāre hue to kyā
Khalid Nadeem Budauni
Khalid Nadeem Budauni
Khalid Nadeem Budauni
poet20 quotes

More by Khalid Nadeem Budauni

View all →
Quote
"sar pe jis ke ridaa nahin hoti vo zamin paarsaa nahin hoti nam to hoti hai aankh baadal ki aabdida havaa nahin hoti khvaahishon ke qusur hote hain aadmi se khataa nahin hoti sirf patthar gunaah karte hain aainon se khataa nahin hoti iltijaa tu agar nahin suntaa mere lab par duaa nahin hoti zindagi ki duaaein mat diije is se baDh kar sazaa nahin hoti ghar ke jalte hue charaaghon se kyaa sabab hai ziyaa nahin hoti tirgi ke harif mausam mein raushni jaa-ba-jaa nahin hoti"
Khalid Nadeem BudauniKhalid Nadeem Budauni
Quote
"hamaare shahr kaa manzar badalne vaalaa hai siyaah raat mein suraj nikalne vaalaa hai nayaa libaas jo har din badalne vaalaa hai amir-e-shahr ke TukDon pe palne vaalaa hai ye aur baat miTaa dein harif tahrirein miraa qalam to haqiqat ugalne vaalaa hai havaa se kah do ke ab ehtimaam se aae phir ik charaagh dariche pe jalne vaalaa hai ye kis maqaam pe laai hai bebasi mujh ko miraa vajud to khushbu mein palne vaalaa hai libaas shakl rifaaqat khulus mehr-o-vafaa is inqalaab mein sab kuchh badalne vaalaa hai kisi bhi shakl mein fitrat badal nahin sakti ye kaun kahtaa hai patthar pighalne vaalaa hai"
Khalid Nadeem BudauniKhalid Nadeem Budauni
Quote
"tamaazat mein jo yaktaa kal rahe hain vo suraj ki tarah ab Dhal rahe hain na tum khush-bu na ham sandal rahe hain havaadis kaa bus ik jangal rahe hain hamaare paaon zakhmi hain magar ham tumhaare saath phir bhi chal rahe hain salibein ab muqaddar hain tumhaaraa kabhi ham bhi sar-e-maqtal rahe hain khirad ki chaar-divaari ke andar iraade phir junun ke pal rahe hain na lagnaa tum hamaare munh na lagnaa ham apne vaqt ke paagal rahe hain ham aise sakht-jaan hain is chaman mein zamin ke jism par makhmal rahe hain har ik mausam ki khushiyaan hain tumhaari shab-e-hijraan to ham bekal rahe hain"
Khalid Nadeem BudauniKhalid Nadeem Budauni
Quote
"naam puchheinge kabhi tum se nasab puchheinge apni mazlumi kaa ham tum se sabab puchheinge be-qusuri ki sazaa kaise mili hai ham ko thartharaate hue maa'sum ke lab puchheinge ahl-e-mansab ko to har baat ki rahti hai khabar kaise divaar mein lagtaa hai naqab puchheinge kaarvaan zulm kaa jab had se guzar jaaegaa ahl-e-daanish mire ahvaal ko tab puchheinge shahryaari ki tire sar se jab utregi kulaah ham tiri zaat tiraa naam-o-nasab puchheinge ik na ik roz to ham ko bhi milegaa mansab tum se ilzaam-taraashi kaa sabab puchheinge"
Khalid Nadeem BudauniKhalid Nadeem Budauni
Quote
"taajdaaron se miraa rishta na thaa is liye bhi qad miraa unchaa na thaa jab nazar ne aaina dekhaa na thaa mere rukh par ek bhi dhabba na thaa us se kyuun be-zaar the ahl-e-nazar tamkanat mein vo agar Duubaa na thaa zillatein vo jaantaa kyaa ishq ki khalvaton mein jo kabhi royaa na thaa aap to khud paikar-e-kirdaar the aap ko kirdaar se girnaa na thaa bastiyaan simTi hui thiin jab talak jangalon ko koi bhi khatra na thaa kyaa bataate qaaede ki baat ham ghar mein koi mashvara kartaa na thaa kaise jaatin mere ghar se gardishein gardishon se to miraa yaaraana thaa"
Khalid Nadeem BudauniKhalid Nadeem Budauni

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil