SHAWORDS

aise sahraa se na rishta ban jaae — Khurram Afaq

HomeKhurram AfaqGhazal
"aise sahraa se na rishta ban jaae ek baarish mein jo dariyaa ban jaae buraa bantaa huun ki shaayad aise vo mire saamne achchhaa ban jaae kaamyaabi tire paanv chume tere gaalon pe sitaara ban jaae koi yaadon ke ghane jangal se yuun guzartaa hai ki rasta ban jaae patthar us vaqt nazar aate hain paani jab aaine jaisaa ban jaae"
Urdu

ایسے صحرا سے نہ رشتہ بن جائے ایک بارش میں جو دریا بن جائے برا بنتا ہوں کہ شاید ایسے وہ مرے سامنے اچھا بن جائے کامیابی ترے پاؤں چومے تیرے گالوں پہ ستارہ بن جائے کوئی یادوں کے گھنے جنگل سے یوں گزرتا ہے کہ رستہ بن جائے پتھر اس وقت نظر آتے ہیں پانی جب آئنے جیسا بن جائے

Hindi

ऐसे सहरा से न रिश्ता बन जाए एक बारिश में जो दरिया बन जाए बुरा बनता हूँ कि शायद ऐसे वो मिरे सामने अच्छा बन जाए कामयाबी तिरे पाँव चूमे तेरे गालों पे सितारा बन जाए कोई यादों के घने जंगल से यूँ गुज़रता है कि रस्ता बन जाए पत्थर उस वक़्त नज़र आते हैं पानी जब आइने जैसा बन जाए

aise sahrā se na rishta ban jaa.e
Khurram Afaq
Khurram Afaq
Khurram Afaq
poet17 quotes

More by Khurram Afaq

View all →

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari