SHAWORDS

andaaz se alag nae tevar liye hue — Ghazala Tabassum

"andaaz se alag nae tevar liye hue shishe khaDe the haath mein patthar liye hue mumkin hai ye bhi hogaa kisi daur mein yahaan aaeinge phuul bhi kabhi nashtar liye hue jugnu ki haisiyat ko na kam aankiye janaab uDtaa phire hai khud mein ik akhtar liye hue phir se saji hain shaakhein chaman mein hain raunaqein aai bahaar phulon kaa zevar liye hue aaghaaz ho rahaa hai nae ik safar kaa phir aaya hai pesh-kash nai rahbar liye hue kis baat kaa ghurur hai milnaa hai khaak mein aae hain aap khaak kaa paikar liye hue kaarigari kamaal ki qudrat ki dekh kar hairaan huun main titliyon ke par liye hue"
Urdu

انداز سے الگ نئے تیور لیے ہوئے شیشے کھڑے تھے ہاتھ میں پتھر لیے ہوئے ممکن ہے یہ بھی ہوگا کسی دور میں یہاں آئیں گے پھول بھی کبھی نشتر لیے ہوئے جگنو کی حیثیت کو نہ کم آنکئے جناب اڑتا پھرے ہے خود میں اک اختر لیے ہوئے پھر سے سجی ہیں شاخیں چمن میں ہیں رونقیں آئی بہار پھولوں کا زیور لیے ہوئے آغاز ہو رہا ہے نئے اک سفر کا پھر آیا ہے پیش کش نئی رہبر لیے ہوئے کس بات کا غرور ہے ملنا ہے خاک میں آئے ہیں آپ خاک کا پیکر لیے ہوئے کاریگری کمال کی قدرت کی دیکھ کر حیران ہوں میں تتلیوں کے پر لیے ہوئے

Hindi

अंदाज़ से अलग नए तेवर लिए हुए शीशे खड़े थे हाथ में पत्थर लिए हुए मुमकिन है ये भी होगा किसी दौर में यहाँ आएँगे फूल भी कभी नश्तर लिए हुए जुगनू की हैसियत को न कम आंकिए जनाब उड़ता फिरे है ख़ुद में इक अख़्तर लिए हुए फिर से सजी हैं शाख़ें चमन में हैं रौनक़ें आई बहार फूलों का ज़ेवर लिए हुए आग़ाज़ हो रहा है नए इक सफ़र का फिर आया है पेश-कश नई रहबर लिए हुए किस बात का ग़ुरूर है मिलना है ख़ाक में आए हैं आप ख़ाक का पैकर लिए हुए कारीगरी कमाल की क़ुदरत की देख कर हैरान हूँ मैं तितलियों के पर लिए हुए

andāz se alag na.e tevar liye hue
Ghazala Tabassum
Ghazala Tabassum
Ghazala Tabassum
poet15 quotes

More by Ghazala Tabassum

View all →
Quote
"DhunDte DhunDte ham aap ko thak jaate hain raaste duur bahut duur talak jaate hain koi aataa nahin bosida se mere ghar mein kuchh parinde hi yahaan aa ke chahak jaate hain aib dahliz pe daulat ki Dhake hote hain muflisi aati hai to parde masak jaate hain daur-e-haazir ki havaaon kaa asar to dekho vaqt se pahle hi phal baagh ke pak jaate hain ahd karte hain na piine kaa alassubh magar shaam ke aate hi paimaane chhalak jaate hain aansu rukhsaar ko chhune ki tamanna le kar aankhon ke kor se gaalon pe Dhalak jaate hain"
Ghazala TabassumGhazala Tabassum
Quote
"alam dil se nikal jaae to shaayad niind aa jaae dil-e-naadaan bahal jaae to shaayad niind aa jaae paDi hai kab se jaane zindagi bas ek hi karvaT agar pahlu badal jaae to shaayad niind aa jaae tumhaari diid ki chaahat mein takte hain qamar shab-bhar miri fitrat badal jaae to shaayad niind aa jaae machal uThti hai shab ki baanhon mein aate hi har chaahat agar hasrat sanbhal jaae to shaayad niind aa jaae abhi to shab javaan hai aarzu bhi hai javaan ab tak zaraa si raat Dhal jaae to shaayad niind aa jaae hui muddat mujhe to chain se soe hue yaaro badan se jaan nikal jaae to shaayad niind aa jaae"
Ghazala TabassumGhazala Tabassum
Quote
"lo phir sameT liyaa shab ne tirgi kaa libaas pahan ke subh chali aai raushni kaa libaas sunegaa ab ye zamaana hamaaraa har qissa utaar Daalaa hai ab ham ne khaamushi kaa libaas hai raqs barson se ghaDiyon ke paanv par vaqt bunaa hai lamhon ne mil kar har ik sadi kaa libaas dikhi thiin jhaankti kuchh hasratein garebaan se thaa muflisi ke badan pe jo bebasi kaa libaas khayaal lafzon mein Dhal jaate hain saliqe se sukun milaa hai pahan ke sukhan-vari kaa libaas khudaayaa phir use sairaab kar de paani se nadi ke jism pe dekhaa hai tishnagi kaa libaas kabhi kisi ko na ehsaas-e-kamtari ho ab ho kaash sab ko mayassar baraabari kaa libaas abhi bhi Thahri vahin par hai zindagi meri pahan liyaa hai ghamon ne hi ab khushi kaa libaas kiyaa karo kabhi us kaa bhi shukr dil se adaa ataa kiyaa hai tumhein jis ne aadmi kaa libaas"
Ghazala TabassumGhazala Tabassum
Quote
"uDaanon kaa har ik mauqa sitamgar chhin letaa hai vo mujh ko hausla de ke mire par chhin letaa hai mujhe khairaat mein de ke vo apne pyaar ke lamhe miri nindein mire khvaabon ke manzar chhin letaa hai kisi ne jaate jaate chhin li aisi miri saansein ki jaari saal ko jaise december chhin letaa hai mizaajon ko badalne ki hai chaahat is qadar us ko thamaa kar haath mein ghunche vo khanjar chhin letaa hai vo chaahe to ataa kar de na ho jo kuchh muqaddar mein agar denaa na chaahe to vo de kar chhin letaa hai"
Ghazala TabassumGhazala Tabassum
Quote
"bachaa ke rakkhi hai thoDi si dosti main ne kiyaa hai tark abhi rishta aarzi main ne puraani yaadon ko puchhaa nae iraadon se daricha khol ke aane di raushni main ne diyaa hai raastaa phir se nae khayaalon ko miTaai zehn se tasvir aap ki main ne tujhe bhi dekhun taDaptaa huaa kisi ke liye isi liye to nahin ki thi khud-kushi main ne tamaam rang hi takne lage the hasrat se safed rang ki oDhi jo oDhni main ne uThaa ke haath khudaa se duaa ki paani ki badan pe sahraa ke jhuk ke likhi nadi main ne har ek lamha guzartaa hai ik baras jaisaa guzaar di ho yahaan jaise ik sadi main ne vo tiin lafz huun jis ki main muntazir kab se kaho na ek dafa phir nahin suni main ne umaDte shor ke shoalon pe paD gayaa paani bas ek baat zaraa zor se kahi main ne"
Ghazala TabassumGhazala Tabassum

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar