SHAWORDS

andesha-haa-e-roz-e-mukaafaat aur main — Shabnam Shakeel

"andesha-haa-e-roz-e-mukaafaat aur main is dil ke be-shumaar savaalaat aur main khalq-e-khudaa pe khalq-e-khudaa ki ye daar-o-gir hairaan khudaa-e-arz-o-samaavaat aur main kyaa thi khushi aur us ki thi kyaa qimat-e-kharid ab rah gae hain aise hisaabaat aur main har lahza zindagi ki inaayaat aur vo har lamha ek marg-e-mufaajaat aur main pahle sadaaqaton ke vo parchaar aur dil ab qaul-o-feal ke ye tazaadaat aur main haarungi main hi mujh ko ye vahm-o-gumaan na thaa aapas mein jab harif the haalaat aur main hamraaz-o-ham-sukhan thaa magar is ke baavajud Takraae mere dil ke mafaadaat aur main"
Urdu

اندیشہ ہائے روز مکافات اور میں اس دل کے بے شمار سوالات اور میں خلق خدا پہ خلق خدا کی یہ دار و گیر حیراں خدائے ارض و سماوات اور میں کیا تھی خوشی اور اس کی تھی کیا قیمت خرید اب رہ گئے ہیں ایسے حسابات اور میں ہر لحظہ زندگی کی عنایات اور وہ ہر لمحہ ایک مرگ مفاجات اور میں پہلے صداقتوں کے وہ پرچار اور دل اب قول و فعل کے یہ تضادات اور میں ہاروں گی میں ہی مجھ کو یہ وہم و گماں نہ تھا آپس میں جب حریف تھے حالات اور میں ہم راز و ہم سخن تھا مگر اس کے باوجود ٹکرائے میرے دل کے مفادات اور میں

Hindi

अंदेशा-हा-ए-रोज़-ए-मुकाफ़ात और मैं इस दिल के बे-शुमार सवालात और मैं ख़ल्क़-ए-ख़ुदा पे ख़ल्क़-ए-ख़ुदा की ये दार-ओ-गीर हैराँ ख़ुदा-ए-अर्ज़-ओ-समावात और मैं क्या थी ख़ुशी और उस की थी क्या क़ीमत-ए-ख़रीद अब रह गए हैं ऐसे हिसाबात और मैं हर लहज़ा ज़िंदगी की इनायात और वो हर लम्हा एक मर्ग-ए-मुफ़ाजात और मैं पहले सदाक़तों के वो प्रचार और दिल अब क़ौल-ओ-फ़े'ल के ये तज़ादात और मैं हारूँगी मैं ही मुझ को ये वहम-ओ-गुमाँ न था आपस में जब हरीफ़ थे हालात और मैं हमराज़-ओ-हम-सुख़न था मगर इस के बावजूद टकराए मेरे दिल के मफ़ादात और मैं

andesha-hā-e-roz-e-mukāfāt aur maiñ
Shabnam Shakeel
Shabnam Shakeel
Shabnam Shakeel
poet7 quotes

More by Shabnam Shakeel

View all →
Quote
"vo to aaina-numaa thaa mujh ko kis liye us se gila thaa mujh ko de gayaa umr ki tanhaai mujhe ek mahfil mein milaa thaa mujh ko taa mujhe chhoD sako patjhaD mein is liye phuul kahaa thaa mujh ko tum ho markaz meri tahriron kaa tum ne ik khat mein likhaa thaa mujh ko main bhi karti thi bahaaron ki talaash ek saudaa saa huaa thaa mujh ko ab pashimaan hain duniyaa vaale khud hi maslub kiyaa thaa mujh ko ab dhaDaktaa hai magar surat-e-dil zakhm ik tum ne diyaa thaa mujh ko"
Shabnam ShakeelShabnam Shakeel
Quote
"chalti rahti hai tasalsul se junun-khez havaa jaltaa rahtaa hai magar phir bhi kahin ek diyaa kisi mahfil mein koi shakhs bahut khul ke hansaa vaaqia ye to ajab aaj yahaan pesh aayaa yaad aataa hai bahut ek puraanaa aangan jis mein pipal kaa ghanaa peD huaa kartaa thaa ashk bahte hain to bahte hi chale jaate hain rok saktaa hai bahaav bhi koi dariyaa kaa raat ham ek ghazal likhte hue rote rahe baaz lafzon ko to ashkon ne miTaa hi Daalaa phir se Takraa gayaa mujh hi se mire dil kaa mafaad phir se barpaa huaa ik maarka-e-karb-o-balaa"
Shabnam ShakeelShabnam Shakeel

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim