Quote
"ab apnaa haal ham unhein tahrir kar chuke khaama supurd kaatib-e-taqdir kar chuke kahte hain tum visaal ki tadbir kar chuke goyaa hamaare haq mein vo taqdir kar chuke tadbir ko havaala-e-taqdir kar chuke ham be-zabaan bhi yaar se taqrir kar chuke dil-e-khaar-khaar khanda-e-chashm-e-asar hai ab dil-e-garm sirf naala-e-shab-gir kar chuke martaa huun yuun ki basta-e-fitraak kyuun nahin main huun vahi ki tum jise nakhchir kar chuke ham jaan kyuun na dein dam-e-guftaar baar baar par dekhte hain ye ki vo taqrir kar chuke baahar hai zabt-e-sharm se aashuftagi miri tum bhi asir-e-zulf-e-girah-gir kar chuke vaqt-e-payaam vasl vo kahte hain ho chukaa shaayad 'adu se vasl ki tahrir kar chuke bas intizaar-e-subh-e-qayaamat nahin qubul ham ab to 'azm naala-e-shab-gir kar chuke kuchh muzd-e-ranj baazu-e-qaatil nahin ki dil nazr adaa-e-burrash-e-shamshir kar chuke khultaa nahin ye 'uqda ki ho baiThe shaad kyuun kis ko asir-e-zulf-e-girah-gir kar chuke kahiye ki shaan-e-ishq mein kyaa ho gai kami go aap khuub si miri tahqir kar chuke dil hai yahaan do-nim qusur-e-tapish mu'aaf tum bhi nigaah-e-bazm ko shamshir kar chuke khultaa hai aur naala-saraai se dil miraa naala ye biin to un pe bhi taasir kar chuke surat chhupaaiye kisi surat-parast se ham dil mein naqsh aap ki tasvir kar chuke daaman-kashaan chale hain miri khaak par se vo barbaad karne ki miri tadbir kar chuke kuchh hashr-khezi shab-e-gham-e-intizaar-e-marg kuchh duur zulm vaqt ki taakhir kar chuke gautam ne us ko rakh ke nazar mein giraa diyaa lekin 'adu ki izzat-o-tauqir kar chuke taa-charkh hain uDaae phire mujh ko zo'f mein naale kahaan kahaan mujhe tashhir kar chuke hai vahaan nigah nigah ko sar-e-dil-bari magar dil ko mere vo qismat-e-sad-tir kar chuke kahiye ki zor-e-baazue mein kidhar gayaa sau baar ghair aap ki taqsir kar chuke pahle jabin havaala-e-taqdir kar chuke dil musir hai ki kaar-kunaan-e-qazaa ai saamaan-e-sad-shikastin taa'mir kar chuke chun chun ke be-gunah ko vo laate hain zer-e-tegh ham jab se is umiid pe taqsir kar chuke aakhir to baa'd us ke hai yaas se umiid jo kuchh ham apni aah ki taasir kar chuke ab kyaa kahein ki qaul-e-vafaa de chuke unhein pahle hi qat' daaman-e-taqrir kar chuke ab kyaa rahaa lapeT mein daaman se aap ke miTTi ham apni aap jo tauqir kar chuke hai chashm-e-dajla baaz to kyaa ham ko chashm-e-zist kaashaana ru-e-aab pe taa'mir kar chuke kyuun iltijaa-e-qatl se kijiye unhein satang jab vaqt aa gayaa to vo taakhir kar chuke ham kis se shukr-o-madh qubul-o-duaa karein lab qismat-e-shikaayat-e-taasir kar chuke ab munh se bolti koi tasvir aap ki jaan apni ham havaala-e-taqdir kar chuke is lab pe imtihaan ke liye mar miTe hain ham jiine se pahle marne ki tadbir kar chuke hotaa hai vo hi yahaan ki jo manzur hai vahaan 'anvar' ham aazmaaish-e-taqdir kar chuke"
