SHAWORDS

na main samjhaa na aap aae kahin se — Anwar Dehlvi

HomeAnwar DehlviGhazal
"na main samjhaa na aap aae kahin se pasina pochhiye apni jabin se chali aati hai honTon par shikaayat nadaamat Tapki paDti hai jabin se agar sach hai hasinon mein talavvun to hai ummid-e-vasl un ki nahin se kahaan ki dil-lagi kaisi mohabbat mujhe ik laag hai jaan-e-hazin se idhar laao zaraa dast-e-hinaai pakaD dein chor dil kaa ham yahin se junun mein is ghazab ki khaak uDaai banaayaa aasmaan ham ne zamin se vahaan aashiq-kushi hai ain-imaan unhein kyaa bahs 'anvar' kufr-o-din se"
Urdu

نہ میں سمجھا نہ آپ آئے کہیں سے پسینہ پوچھیے اپنی جبیں سے چلی آتی ہے ہونٹوں پر شکایت ندامت ٹپکی پڑتی ہے جبیں سے اگر سچ ہے حسینوں میں تلون تو ہے امید وصل ان کی نہیں سے کہاں کی دل لگی کیسی محبت مجھے اک لاگ ہے جان حزیں سے ادھر لاؤ ذرا دست حنائی پکڑ دیں چور دل کا ہم یہیں سے جنوں میں اس غضب کی خاک اڑائی بنایا آسماں ہم نے زمیں سے وہاں عاشق کشی ہے عین ایماں انہیں کیا بحث انورؔ کفر و دیں سے

Hindi

न मैं समझा न आप आए कहीं से पसीना पोछिए अपनी जबीं से चली आती है होंटों पर शिकायत नदामत टपकी पड़ती है जबीं से अगर सच है हसीनों में तलव्वुन तो है उम्मीद-ए-वस्ल उन की नहीं से कहाँ की दिल-लगी कैसी मोहब्बत मुझे इक लाग है जान-ए-हज़ीं से इधर लाओ ज़रा दस्त-ए-हिनाई पकड़ दें चोर दिल का हम यहीं से जुनूँ में इस ग़ज़ब की ख़ाक उड़ाई बनाया आसमाँ हम ने ज़मीं से वहाँ आशिक़-कुशी है ऐन-ईमाँ उन्हें क्या बहस 'अनवर' कुफ़्र-ओ-दीं से

na maiñ samjhā na aap aa.e kahīñ se
Anwar Dehlvi
Anwar Dehlvi
Anwar Dehlvi
poet38 quotes

More by Anwar Dehlvi

View all →
Quote
"yusuf-e-husn kaa husn aap kharidaar rahaa pahle bazaar-e-azal misr kaa baazaar rahaa bismil-e-naaz rahaa Kushta-e-raftaar rahaa zindagi bhar mujhe marne se sarokaar rahaa jurm-e-naa-karda uqubat kaa sazaa-vaar rahaa shaikh sarshaar-e-siyah masti-e-pindaar rahaa parda-e-chashm jo paas-e-adab-e-yaar rahaa main rahaa saamne tu bhi pas-e-divaar rahaa dil ye shaadi-e-jaraahat se huaa baalida ki tiraa tiir yahaan taa-lab-e-sufaar rahaa gir ke nazron se tiri phir na zamin se uTThaa main subuk bhi jo huaa tu bhi giraan-baar rahaa aaj hi aaj hai fardaa-e-qayaamat maujud do ghaDi aur jo hangaama-e-raftaar rahaa tuur tu barq-e-tajalli se huaa khaakistar aur main sokhta-e-hasrat-e-didaar rahaa rahm us saada-dili par ki miraa zakhm-e-jigar ghair se chaara-o-darmaan kaa talabgaar rahaa main vo ik mujrim-e-taazir talab huun ki sadaa badle dushman ke uqubat kaa sazaa-vaar rahaa bas-ki dil mein rahi ik kashmakash yaas-o-ummid dard jo dil mein rahaa jaan se bezaar rahaa ab vo fardaa bhi nahin roz ki taskin ke liye ab faqat hashr hi par vaada-e-didaar rahaa pi bhi jaa shaikh ki saaqi ki inaayat hai sharaab main tire badle qayaamat mein gunahgaar rahaa khush huun chup rahne se un ke dam-e-paighaam-e-visaal ki ye inkaar to kuchh shaamil-e-iqraar rahaa sar pe phirtaa hi rahaa aur na giraa mujh pe kabhi aasmaan ban ke tiraa saaya-e-divaar rahaa garche kyaa kuchh the magar aap ko kuchh bhi na ginaa ishq-e-barham zan-e-kaashaana-e-pindaar rahaa tum ne yuun ghar mein to kyaa kuchh na uThaae fitne ik qayaamat kaa uThaanaa sar-e-baazaar rahaa haae vo chashm ki dekhe tujhe sargarm-e-adaa vaae vo dil ki tiraa mahram-e-asraar rahaa main rahaa bhi to rahaa khaar ki surat ki sadaa teri nazron mein subuk-dil pe tire yaar rahaa chashm par nashsha-e-saaqi jo rahi aks-fagan chuur masti se har ik saaghar-e-sarshaar rahaa huun mein vo jins ki huun raunaq-e-baazaar-e-kasaad huun vo saudaa ki kharidaar bhi bezaar rahaa kuchh khabar hoti to main apni khabar kyuun rakhtaa ye bhi ik be-khabari thi ki khabar-daar rahaa thak ke baiThe ho dar-e-saumaa par kyaa 'anvar' do-qadam aur ki ye khaana-e-khummaar rahaa"
Anwar DehlviAnwar Dehlvi
Quote
"ashk betaab va nigah be-baak va chashm-e-tar kharaab chashm-e-binaa se agar dekho to ghar kaa ghar kharaab girya be-taasir o fariyaad-e-dil-e-muztarib kharaab kaar-e-ishq-o-aashiqi naaqis tamaam aksar kharaab ik hamaaraa naam jo pahunche na teri bazm tak ik hamaari khaak hai jo phirti hai dar dar kharaab hai adab se nutq band ab kyaa bayaan ho muddaaa pahle hi yahaan ho chukaa guftaar kaa daftar kharaab dil kharaab aur sab havaa-o-hirs-e-dil bekaar hai hai fazaa-e-dahr mein haal-e-but-o-but-gar kharaab jaan hi jaati hai guftaar-e-shakar-aalud par bul-havas se niyyat-e-aashiq hai kuchh baDh kar kharaab shab-e-adu ke saath din ko mujh se chhupte phirte ho al-gharaz phirte ho yuun hi raat-bhar din-bhar kharaab dil kharaabaat-e-mughaan se ham uThaa sakte nahin ho gae is khaak-daan mein chaar din rah kar kharaab phoDnaa sar kaa hi aa Thahraa to laakhon sang hain kijiye kyuun aastaan-e-yaar kaa patthar kharaab jo muqaabil mein balaa aae vo maujud us mein hai dil huaa apnaa safaa se aaina ban kar kharaab ik sanam ke haath bik jaataa na phirtaa dar-ba-dar but-faroshi se huaa hai kis qadar aazar kharaab lutf-e-saaqi aam thaa par vaa-e-bakht andalib jaam-e-gil bekaar niklaa saaghar-e-abhar kharaab mere dil mein ek dam aate nahin misl-e-muraad ho gae aghyaar ki aankhon mein tum rah kar kharaab tum kisi vaada se phir jaao ki ho jaaun tamaam ho agar phirne mein mere halq par khanjar kharaab munharif ham dekhte hain kuchh nigaah-e-tez tez kis rag-e-jaan se huaa hai ye sar-e-nashtar kharaab aarzu-e-qatl bar aai to kyaa bar aai khaak kuchh yahaan qismat buri kuchh vahaan dam-e-khanjar kharaab yuun kharaabaat-e-mughaan bhi hai kharaab-e-rozgaar lekin us se bhi hai kuchh teraa dil-e-'anvar' kharaab"
Anwar DehlviAnwar Dehlvi
Quote
"nazar aae kyaa mujh se faani ki surat ki pinhaan huun dard-e-nihaani ki surat banaa huun vo main naa-tavaani ki surat ghazab hi khichi be-nishaani ki surat khamoshi jo hai jqtizaa-e-tabiat to un ko mili be-dahaani ki surat nazar aae kyaa jalva-e-husn baaqi ki parda hai duniyaa-e-faani ki surat tum aur zikr-e-aghyaar par chup rahoge kahe deti hai be-dahaani ki surat hamaare gale par to chalti dikhaao kahaan tegh mein hai ravaani ki surat qayaam apnaa us kucha mein paa-bigul hai mile khaak mein ham to paani ki surat gudaaz-e-dil-e-tishna kaa maan ghazab hai vo khanjar na bah jaae paani ki surat baraabar hai yahaan bud-o-naabud apni nishaan hai miraa be-nishaani ki surat araq-e-sharm se khaaksaari mein huun main huaa khaak bhi main to paani ki surat jo puchho to us chashm kaa dekhnaa hai vo hai gardish aasmaani ki surat Duboyaa mujhe aab mein sharm se vo khaDe hain mire sar pe paani ki surat numud apni vaaqe mein kuchh bhi nahin hai yahaan khvaab hai zindagaani ki surat vo dil ru-numaai mein lete hain pahle dikhaate hain jab jaan-sitaani ki surat mujhe kushta dekhaa to qaatil ne puchhaa yaqin hai yahaan bad-gumaani ki surat paDe mar ke miTne ko ham Thokaron mein magar kaT gai zindagaani ki surat zabaan par hai qaasid ki apni rasaai huaa huun payaam zabaani ki surat mujassam hi mauhum aane mein un ke nazar aati hai zindagaani ki surat tire vaade par ziist hai marg apni bahut hi baDhi naa-tavaani ki surat vo is shakl se meri baalin pe aae ki ik aafat-e-aasmaani ki surat nazar ban ke phirti hai aankhon mein apni kisi aalam-e-naujavaani ki surat na ho rashk to kijiye vahaan madh-e-dushman ki hai yaar ki raaz-daani ki surat mujhe dekho aur us ke vaa'de pe jiinaa ye hai zinda-e-jaavedaani ki surat vahaan bad-gumaani ki taa'rif kyaa ho yaqin ho jahaan bad-gumaani ki surat nazar-soz vo rukh vo inkaar behad magar hain vo ik lan-taraani ki surat dikhaate hain vo rakh se yuun naaz pinhaan ki alfaaz jaise ma'aani ki surat yahaan kyaa samaai dam-e-tegh qaatil ki nazron mein hai sakht jaani ki surat jo naqsh-e-fanaa hon to vo dil pe 'anvar' khinchi aur ik bad-gumaani ki surat"
Anwar DehlviAnwar Dehlvi
Quote
"mohabbat ho to barq-e-jism-o-jaan ho vo aatish kyaa ki siine mein nihaan ho nahin ho aur phir kahne ko yaan ho harif-e-bad-gumaan ke ham-gumaan ho tahayyur-e-fart shauq-e-did se huun vahin mujh ko bhi dekho tum jahaan ho suni jaati ho jab mahshar mein rudaad to apni khatm kyunkar daastaan ho vo mustaghni sahi par dil gayaa hai jo phir ho to unhin par kuchh gumaan ho jo sach ho vaada-e-didaar un kaa to baaton mein qayaamat kyuun 'ayaan ho mujhe sar phoDne mein 'uzr kyaa hai magar un kaa hi hi sang-e-aastaan ho tumhein vo parda yahaan hai parda-daari mere dil mein nahin to phir kahaan ho rukaa jaataa hai dam siine mein kyaa kyaa gale par kaash khanjar saa ravaan ho chhupaae ham se kyaa kyaa raaz apne agar koi hamaaraa raaz-daan ho rahe kyuun talkhi-e-farhaad kaa zikr agar shirin ki shirin daastaan ho zulekhaa par na ho kyuun naazish-e-ishq ki jab yusuf mataa-e-kaarvaan ho 'adu khush khush hai kuchh kah kar sunaa hai na maanungaa kabhi tum be-dahaan ho milaa hai baiThe rahne kaa sahaaraa jahaan ho aur tumhaaraa aastaan ho usi mein faisla samjhaa huun dil kaa kahaan tak dekhiye zabt-e-fughaan ho yahaan baiThe ho par kuchh ukhDe ukhDe nazar milti nahin dil se kahaan huun saraapaa soz hai ulfat mein 'anvar' 'ajab kyaa hai agar aatish-zabaan ho"
Anwar DehlviAnwar Dehlvi
Quote
"aankhein dikhaain ghair ko meri khataa ke saath matlab adaa vo karte hain aur kis adaa ke saath shokhi nigah ke saath taghaaful jafaa ke saath ushshaaq par hujum-e-balaa hai balaa ke saath aakhir huaa na zabt shab-e-vasl muddai naala nikal gayaa miri lab se duaa ke saath tere sitam se mujh ko milaa mansab-e-kalim ik vajh-e-guftagu nikal aai khudaa ke saath teraa hijaab uThte hi aaya vo naa-gahaan dushman ke paaon khul gae band-e-qabaa ke saath mein kyaa ki dushmanon ki bhi qismat ulaT gai tirchhi adaaein aur teri baanki adaa ke saath raah-e-talab mein shauq ki manzur hai numud miTte qadam qadam pe chale rahnumaa ke saath yaarab ghalat ho fahm-e-kaj-andesh kaa gumaan kuchh kah rahaa hai in se adu iltijaa ke saath dete nahin kisi ko pata apne haal kaa begaana ban ke chalte hain har aashnaa ke saath mai be-talab mili to hui yaar ki talab bandon ke naaz bhi hain niraale khudaa ke saath josh-e-qalaq mein dekhiye kyaa maangtaa huun main yaaron ke dam nikalte hain meri duaa ke saath ghar se mujhe nikaalte rahiye par is tarah gah muddai ke saath gahe muddaaa ke saath kyuun shauq mein giraaiye saath apne shaan-e-ishq aghmaaz bhi zarur hai kuchh iltijaa ke saath kahtaa huun ye nasib na dushman ko ho firaaq aa main vo kahte jaate hain meri duaa ke saath lailaa kaa naam zinda hai ab tak jahaan mein tum bhi nibaah do kisi ahl-e-vafaa ke saath phirte hi us ki aankh ke vaabasta-tar havaa main dil ke saath dil nigah-e-fitna-zaa ke saath ham aalam-e-khayaal mein kuchh bhi na khush hue hai rashk-e-ghair yaad-e-lab-e-jaan-fazaa ke saath ab to baDaa khayaal teri ranjishon kaa hai mahshar mein dekh leinge khudaa ki khudaa ke saath kahtaa hai Dar ke haath vafaa se uThaa liyaa dushman ki baat ban gai meri duaa ke saath aataa hai bu-e-dost mein kaafir basaa huaa qaasid bhi ik raqib hai apnaa sabaa ke saath kyaa DhunDhte ho dahr mein 'anvar' jamaal-e-dost chande phiro chalo kisi mard-e-khudaa ke saath"
Anwar DehlviAnwar Dehlvi

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud