SHAWORDS

apnaa dukhDaa kahte hain — Gauhar Hoshiyarpuri

"apnaa dukhDaa kahte hain aur tujhe kyaa kahte hain kachchi konpal hotaa hai pyaar kaa rishta kahte hain duniyaa kis ki apni hai ahl-e-duniyaa kahte hain ai dil ye dar-maandagiyaan tujh ko dariyaa kahte hain apnaa saa bas lagtaa hai jis ko apnaa kahte hain luTne vaale! der na kar luuT ke le jaa kahte hain 'gauhar' log to baat nahin baat kaa sehraa kahte hain"
Urdu

اپنا دکھڑا کہتے ہیں اور تجھے کیا کہتے ہیں کچی کونپل ہوتا ہے پیار کا رشتہ کہتے ہیں دنیا کس کی اپنی ہے اہل دنیا کہتے ہیں اے دل یہ در ماندگیاں تجھ کو دریا کہتے ہیں اپنا سا بس لگتا ہے جس کو اپنا کہتے ہیں لوٹنے والے! دیر نہ کر لوٹ کے لے جا کہتے ہیں گوہرؔ لوگ تو بات نہیں بات کا سہرا کہتے ہیں

Hindi

अपना दुखड़ा कहते हैं और तुझे क्या कहते हैं कच्ची कोंपल होता है प्यार का रिश्ता कहते हैं दुनिया किस की अपनी है अहल-ए-दुनिया कहते हैं ऐ दिल ये दर-मांदगियाँ तुझ को दरिया कहते हैं अपना सा बस लगता है जिस को अपना कहते हैं लूटने वाले! देर न कर लूट के ले जा कहते हैं 'गौहर' लोग तो बात नहीं बात का सेहरा कहते हैं

apnā dukhḌā kahte haiñ
Gauhar Hoshiyarpuri
Gauhar Hoshiyarpuri
Gauhar Hoshiyarpuri
poet27 quotes

More by Gauhar Hoshiyarpuri

View all →
Quote
"saman-baron se chaman daulat-e-numu maange havaa-e-daaman-e-gul gesuon ki bu maange taraaz-e-shokhi-e-paa hai gyaah-e-sabz ki maang khiraam-e-naaz kaa andaaz aab-ju maange bikharti zulf se TuuTe ghurur-e-shab kaa tilism sahar kaa husn fusun-e-rukh-e-niku maange varaq varaq gul-e-tar mauj mauj baad-e-sahar badan kaa lams tire pairahan ki bu maange shigaaf-e-koh na thaa tesha-e-vafaa ki talab ye ju-e-shir abhi aur kuchh lahu maange shikasta-e-shisha-e-pindaar ki sadaa bhi sun karam ki bhiik jab us sang-dil se tu maange kahaan vo shokh magar apnaa nutq-o-lab 'gauhar' usi kaa zikr pae-zeb-e-guftugu maange"
Gauhar HoshiyarpuriGauhar Hoshiyarpuri
Quote
"yahaan kaun is ke sivaa rah gayaa zamaana gayaa aaina rah gayaa vo husn-e-saraapaa vo husn-aafrin magar har koi dekhtaa rah gayaa chalo kyaa huaa raushni hi to thi yahaan dekhne ko bhi kyaa rah gayaa hamaari kuchh apni rivaayat bhi thi kitaabon mein likkhaa huaa rah gayaa khudaai ko bhi ham na khush rakh sake khudaa bhi khafaa kaa khafaa rah gayaa muqaddar kahin kaj-kulaahi kare koi ghar mein mahv-e-duaa rah gayaa kahin ek chup bhi rasaa ho gai koi boltaa boltaa rah gayaa"
Gauhar HoshiyarpuriGauhar Hoshiyarpuri

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil