Quote
"husn hai mehrbaan taajjub hai phir bhi ham bad-gumaan taajjub hai aamad aamad thi mausam-e-gul ki jal gayaa aashiyaan taajjub hai jo bhaTakte the pahunche manzil par kho gae kaarvaan taajjub hai garm thi kal to aish ki mahfil aaj maatam vahaan taajjub hai phuul jhaDte the har ghaDi jin se un labon par fughaan taajjub hai tauba ki thi sharaab-khaane se aa gae phir yahaan taajjub hai ku-e-jaanaan ki sar-zamin jaise ban gai aasmaan taajjub hai"
A
Abdussamad Javed