SHAWORDS

aqab mein darmiyaan aur saamne vaali nashiston par — Ehtisham Hasan

HomeEhtisham HasanGhazal
"aqab mein darmiyaan aur saamne vaali nashiston par jahaan dekhaa vahaan the aap hi saari nashiston par vo jab stage par aayaa to pichhe baiThne vaale chale aae qataarein toD kar agli nashiston par khabar hi na mili un ko tamaashaa khatm hone ki tamaashaai jhagaDte rah gae khaali nashiston par gale mein dil uchhal kar aa gayaa sab ahl-e-mahfil kaa jab us ne be-niyaazi se nazar Daali nashiston par unhein har hukm sun kar shaah ki taaid karni thi riyaazat kaaT kar pahunche jo darbaari nashiston par yahaan par har kisi ko hukmaraan hone ki khvaahish hai nazar hizb-e-mukhaalif ki hai sarkaari nashiston par jo dekhi ziist ke stage par apni adaakaari main royaa baari baari baiTh kar khaali nashiston par 'hasan' ham ko bhi apni shaairi par daad mil jaati hamaare dost jaa kar so gae pichhli nashiston par"
Urdu

عقب میں درمیاں اور سامنے والی نشستوں پر جہاں دیکھا وہاں تھے آپ ہی ساری نشستوں پر وہ جب اسٹیج پر آیا تو پیچھے بیٹھنے والے چلے آئے قطاریں توڑ کر اگلی نشستوں پر خبر ہی نہ ملی ان کو تماشا ختم ہونے کی تماشائی جھگڑتے رہ گئے خالی نشستوں پر گلے میں دل اچھل کر آ گیا سب اہل محفل کا جب اس نے بے نیازی سے نظر ڈالی نشستوں پر انہیں ہر حکم سن کر شاہ کی تائید کرنی تھی ریاضت کاٹ کر پہنچے جو درباری نشستوں پر یہاں پر ہر کسی کو حکمراں ہونے کی خواہش ہے نظر حزب مخالف کی ہے سرکاری نشستوں پر جو دیکھی زیست کے اسٹیج پر اپنی اداکاری میں رویا باری باری بیٹھ کر خالی نشستوں پر حسنؔ ہم کو بھی اپنی شاعری پر داد مل جاتی ہمارے دوست جا کر سو گئے پچھلی نشستوں پر

Hindi

अक़ब में दरमियाँ और सामने वाली नाशिस्तों पर जहाँ देखा वहाँ थे आप ही सारी नाशिस्तों पर वो जब स्टेज पर आया तो पीछे बैठने वाले चले आए क़तारें तोड़ कर अगली नाशिस्तों पर ख़बर ही न मिली उन को तमाशा ख़त्म होने की तमाशाई झगड़ते रह गए ख़ाली नाशिस्तों पर गले में दिल उछल कर आ गया सब अहल-ए-महफ़िल का जब उस ने बे-नियाज़ी से नज़र डाली नाशिस्तों पर उन्हें हर हुक्म सुन कर शाह की ताईद करनी थी रियाज़त काट कर पहुँचे जो दरबारी नाशिस्तों पर यहाँ पर हर किसी को हुक्मराँ होने की ख़्वाहिश है नज़र हिज़्ब-ए-मुख़ालिफ़ की है सरकारी नाशिस्तों पर जो देखी ज़ीस्त के स्टेज पर अपनी अदाकारी मैं रोया बारी बारी बैठ कर ख़ाली नाशिस्तों पर 'हसन' हम को भी अपनी शाइरी पर दाद मिल जाती हमारे दोस्त जा कर सो गए पिछली नाशिस्तों पर

aqab meñ darmiyāñ aur sāmne vaalī nashistoñ par
Ehtisham Hasan
Ehtisham Hasan
Ehtisham Hasan
poet9 quotes

More by Ehtisham Hasan

View all →
Quote
"baiTh kar ek Daal par filhaal ai parinde nikaal par filhaal baat dekhein kahaan pahunchti hai zor hai haal-chaal par filhaal dukh samajhnaa paDegaa bachche kaa pahlaa aansu hai gaal par filhaal fikr-e-naan-e-javin kaa ghalba hai apne har ik khayaal par filhaal Dhal gayaa hai uruuj kaa mausam hai bulandi zavaal par filhaal us ki anmol chaahaton kaa udhaar hai mire baal baal par filhaal ham to chhoD aae the chaman teraa kaun hai dekh-bhaal par filhaal ik parinde ne dusre se kahaa chal utarte hain jaal par filhaal dhaDkanein munh ko aa rahi hain 'hasan' dil nahin e'tidaal par filhaal"
Ehtisham HasanEhtisham Hasan
Quote
"kahne lagaa khulte hue darvaaza havaa se ye pahlaa taaaruf hai miraa taaza havaa se phir chuum gaiin phuul ke rukhsaar havaaein phir phuul ke chehre pe lagaa ghaaza havaa se khushbu kaa saraapaa hai ki phulon ki hai tarkib vo aae to ho jaataa hai andaaza havaa se rakhte hain munDeron pe diye apne jalaa kar ham ne kabhi puchhaa nahin khamyaaza havaa se kal raat darichon mein koi aur nahin thaa bikhraa thaa khayaalaat kaa shiraaza havaa se kahnaa hai use jo bhi 'hasan' phone pe kah do ab tez hai raftaar mein aavaaza havaa se"
Ehtisham HasanEhtisham Hasan
Quote
"marhabaa dida-e-mai-nosh mein aane vaale ab tire rind nahin hosh mein aa ne vaale dekh saaqi rahe khaali na tiraa koi subu jaam hain dast-e-balaa-nosh mein aane vaale qatl ai ziist tiri sej pe dhoke se hue mar gae sab tiri aaghosh mein aane vaale jaa-ba-jaa dekh ke hanste hue chehron ke mazaar ro paDe kucha-e-khaamosh mein aane vaale saal-haa-saal jinhein dasht se maanus kiyaa ab ye paanv nahin paa-posh mein aane vaale itnaa idraak to hai ham ko ki aasaani se ham nahin dast-e-sitam-kosh mein aane vaale sab taraf-daar tire nikle adaakaar 'hasan' maslahat-kosh the sab josh mein aane vaale"
Ehtisham HasanEhtisham Hasan
Quote
"hue jis ishq ke mahsur jaane hi nahin detaa hamein khud se ziyaada duur jaane hi nahin detaa mizaajan ibtidaa se ham asir-e-dasht-e-hijraan hain jahaan se ab dil-e-majbur jaane hi nahin detaa ye lutf-e-ishq aisaa hai lipaT jaataa hai pairon se koi sarmad ho yaa mansur jaane hi nahin detaa jahaan bechain phirte hain ujaale maangne vaale andheraa us jagah tak nuur jaane hi nahin detaa hamein darkaar hai rukhsat gham-e-dauraan se kuchh din ki vo arzi kar ke naa-manzur jaane hi nahin detaa ajab surma banaayaa hai tiri zarb-e-tajalli ne miri aankhon se koh-e-tur jaane hi nahin detaa fazaaon mein vafaa aur khaak mein itni mohabbat hai kahaan jaaun bahaavalpur jaane hi nahin detaa"
Ehtisham HasanEhtisham Hasan
Quote
"yuun samaayaa hai ki ab sar se nikalne kaa nahin main jo chaahun bhi to ik Dar se nikalne kaa nahin main ne jo khauf piroyaa thaa ragon mein apni aisaa baiThaa hai ki andar se nikalne kaa nahin baa'd koshish ke natija ye nikaalaa main ne zindagi main tire chakkar se nikalne kaa nahin khinch laate hain haqiqat mein havaadis varna aadmi khvaab ke mehvar se nikalne kaa nahin sar paTakhtaa nahin pinjre mein parinda yunhi shauq-e-parvaaz kabhi par se nikalne kaa nahin ik saDak aur miraa aaTHvaan dasvaan chakkar aur mujhe 'ilm hai vo ghar se nikalne kaa nahin apne andar yuun chhupaae hain sanam patthar ne but koi tesha-e-aazar se nikalne kaa nahin gham-e-dauraan bhi hai yuun jaise miraa yaum-e-hisaab main to duniyaa mein bhi mahshar se nikalne kaa nahin dhauns detaa hai ye suraj mujhe har shaam 'hasan' vo jo Duubaa to samundar se nikalne kaa nahin"
Ehtisham HasanEhtisham Hasan
Quote
"sidhe-saadhe log the pahle ghar bhi saada hotaa thaa kamre kam hote the aur daalaan kushaada hotaa thaa dekh ke vo ghar gaanv vaale sog manaayaa karte the sahn mein jo divaar uThaa kar aadhaa aadhaa hotaa thaa mustaqbil aur haal ke aazaaron ke saath nimaTne ko chaupaalon mein maazi ki yaadon kaa iaada hotaa thaa dukh chaahe jis kaa bhi ho vo mill kar baanTaa jaataa thaa gham to aaj ke jaise the ehsaas ziyaada hotaa thaa laDke baale milon paidal paDhne jaayaa karte the paas hai jo schōl vo pahle dur-uftaada hotaa thaa thak jaataa koi to mil kar bojh ko baanTaa karte the dost ne dost kaa basta apne uupar laadaa hotaa thaa itni sharm to hoti thi aankhon mein pahle vaqton mein gali mein sar nichaa rakhtaa jo baahar daadaa hotaa thaa soch samajh kar hote the tab saath nibhaane ke vaade lekin jo kar lete the vo vaada puuraa hotaa thaa khat mein dil aur tiir banaa kar minnat karni paDti thi yaar bahut mushkil se milne par aamaada hotaa thaa dekh 'hasan' kis mansab se le aayaa ishq faqiri tak jis se puchhaa apne daur mein vo shahzaada hotaa thaa"
Ehtisham HasanEhtisham Hasan

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud