Quote
"khul ke barasnaa aur baras kar phir khul jaanaa dekhaa hai ham se puchho!! un aankhon kaa ek zamaana dekhaa hai tum ne kaise maan liyaa vo thak kar baiTh gayaa hogaa tum ne to khud apni aankhon se vo divaanaa dekhaa hai manzil tak pahunchein ki na pahunchein raah magar apni hogi tu rahne de vaaiz teraa raah bataanaa dekhaa hai dhuul kaa ik zarra na uDe aavaaz kare parchhaain bhi maut bhi aa kar marti nahin thi vo viraana dekhaa hai gulshan se ham siikh na paae vaqti khushiyon ko jiinaa jabki ham ne fasl-e-gul kaa aanaa jaanaa dekhaa hai dil to saada hai teri har baat ko sachchaa maantaa hai aql ne baatein karte teraa aankh churaanaa dekhaa hai lafz davaa hai lekin is ke saath hi kuchh parhez bhi hai lafz ke baais pal mein khonaa pal mein paanaa dekhaa hai"
