Quote
"yaad yuun hosh ganvaa baiThi hai jism se jaan judaa baiThi hai raah taknaa hai abas so jaao dhuup divaar pe aa baiThi hai aashiyaane kaa khudaa hi haafiz ghaat mein tez havaa baiThi hai dast-e-gul-chin se muravvat kaisi shaakh phulon ko ganvaa baiThi hai kaise aae kisi gulshan mein bahaar dasht mein aabla-paa baiThi hai shahr aaseb-zada lagtaa hai kuche kuche mein balaa baiThi hai chaar kamron ke makaan mein apne ik pachhal-paai bhi aa baiThi hai shaairi peT ki khaatir 'jaaved' biich baazaar ke aa baiThi hai"
