SHAWORDS

ashk-e-gham aankhon ne barsaayaa bahut — Faraz Sultanpuri

"ashk-e-gham aankhon ne barsaayaa bahut jaane kyuun un kaa khayaal aayaa bahut us ko diin ham ne duaaein baar-haa zindagi mein jis ne taDpaayaa bahut jis ko apnaa dil samajhte the use apnaa kam aur aap kaa paayaa bahut ban ke raaz-e-zindagi dil mein rahe zindagi mein phir bhi tarsaayaa bahut daulat o hashmat pe naazaan ho koi hai hamein to dil kaa sarmaayaa bahut dhuup ki sakhti to thi lekin 'faraaz' zindagi mein phir bhi thaa saaya bahut"
Urdu

اشک غم آنکھوں نے برسایا بہت جانے کیوں ان کا خیال آیا بہت اس کو دیں ہم نے دعائیں بارہا زندگی میں جس نے تڑپایا بہت جس کو اپنا دل سمجھتے تھے اسے اپنا کم اور آپ کا پایا بہت بن کے راز زندگی دل میں رہے زندگی میں پھر بھی ترسایا بہت دولت و حشمت پہ نازاں ہو کوئی ہے ہمیں تو دل کا سرمایا بہت دھوپ کی سختی تو تھی لیکن فرازؔ زندگی میں پھر بھی تھا سایہ بہت

Hindi

अश्क-ए-ग़म आँखों ने बरसाया बहुत जाने क्यूँ उन का ख़याल आया बहुत उस को दीं हम ने दुआएँ बार-हा ज़िंदगी में जिस ने तड़पाया बहुत जिस को अपना दिल समझते थे उसे अपना कम और आप का पाया बहुत बन के राज़-ए-ज़िंदगी दिल में रहे ज़िंदगी में फिर भी तरसाया बहुत दौलत ओ हशमत पे नाज़ाँ हो कोई है हमें तो दिल का सरमाया बहुत धूप की सख़्ती तो थी लेकिन 'फ़राज़' ज़िंदगी में फिर भी था साया बहुत

ashk-e-ġham āñkhoñ ne barsāyā bahut
F
Faraz Sultanpuri
Faraz Sultanpuri
poet10 quotes

More by Faraz Sultanpuri

View all →
Quote
"bichhaDte daamanon mein apni kuchh parchhaaiyaan rakh do sukut-e-zindagi mein dil ki kuchh be-taabiyaan rakh do kahin aisaa na ho main duur khud apne se ho jaaun meri hasti ke hangaamon mein kuchh tanhaaiyaan rakh do mire afkaar ho jaaein na farsuda zamaane mein nigaahon se tum apne in mein kuchh gahraaiyaan rakh do miraa har iztiraab-e-dil nishaan manzil kaa ban jaae tamannaaon mein meri husn ki angDaaiyaan rakh do rahe baaqi na phir suud o ziyaan kaa masala koi mire khirman mein apne haath se chingaariyaan rakh do kisi ko bakhsh do 'izzat kisi ko sim-o-zar de do mire hisse mein raah-e-ishq ki rusvaaiyaan rakh do kisi bhi ghair ki jaanib nazar uTThe 'faraaz' ab kyuun nigaahon mein tum us ki apni sab raanaaiyaan rakh do"
F
Faraz Sultanpuri

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi