Quote
"bichhaDte daamanon mein apni kuchh parchhaaiyaan rakh do sukut-e-zindagi mein dil ki kuchh be-taabiyaan rakh do kahin aisaa na ho main duur khud apne se ho jaaun meri hasti ke hangaamon mein kuchh tanhaaiyaan rakh do mire afkaar ho jaaein na farsuda zamaane mein nigaahon se tum apne in mein kuchh gahraaiyaan rakh do miraa har iztiraab-e-dil nishaan manzil kaa ban jaae tamannaaon mein meri husn ki angDaaiyaan rakh do rahe baaqi na phir suud o ziyaan kaa masala koi mire khirman mein apne haath se chingaariyaan rakh do kisi ko bakhsh do 'izzat kisi ko sim-o-zar de do mire hisse mein raah-e-ishq ki rusvaaiyaan rakh do kisi bhi ghair ki jaanib nazar uTThe 'faraaz' ab kyuun nigaahon mein tum us ki apni sab raanaaiyaan rakh do"
F
Faraz Sultanpuri