"kuchh chamaktaa saa tah-e-aab nazar to aae Dubne ke liye girdaab nazar to aae koi taabir ki surat bhi nikal aaegi niind to aae kabhi khvaab nazar to aae band kamre ki fazaa kis ko bhali lagti hai mere atraaf mein mahtaab nazar to aae do ghaDi Thahrun kahin main bhi zaraa dam le luun raah mein khitta-e-shaadaab nazar to aae main shikasta huun idhar tu bhi shikasta hai udhar jang mein koi zafar-yaab nazar to aae mushkilein gher ke baiThi hain miraa ghar 'aalam' ab zaraa halqa-e-ahbaab nazar to aae"
aur ik shahr hai kyaa shahr-e-gumaan se aage — Alam Khursheed
"aur ik shahr hai kyaa shahr-e-gumaan se aage ham ko jaanaa hai bahut duur yahaan se aage gardish-e-paa kisi manzil pe Thaharti hi nahin dil magar baDhtaa nahin ku-e-butaan se aage gunjti rahti hain saahil ki sadaaein har-dam ham ne dekhaa hi nahin mauj-e-ravaan se aage muddaaa apnaa kisi shakhs pe zaahir na huaa koi jaataa hi nahin tarz-e-bayaan se aage zakhm qaael hon bhalaa chaaragari ke kaise saf-e-dushman hai saf-e-chaara-garaan se aage be-sabab ham se khafaa ho gai duniyaa 'aalam' ham ne likkhaa hai kahaan qissa-e-jaan se aage"
اور اک شہر ہے کیا شہر گماں سے آگے ہم کو جانا ہے بہت دور یہاں سے آگے گردش پا کسی منزل پہ ٹھہرتی ہی نہیں دل مگر بڑھتا نہیں کوئے بتاں سے آگے گونجتی رہتی ہیں ساحل کی صدائیں ہر دم ہم نے دیکھا ہی نہیں موج رواں سے آگے مدعا اپنا کسی شخص پہ ظاہر نہ ہوا کوئی جاتا ہی نہیں طرز بیاں سے آگے زخم قائل ہوں بھلا چارہ گری کے کیسے صف دشمن ہے صف چارہ گراں سے آگے بے سبب ہم سے خفا ہو گئی دنیا عالمؔ ہم نے لکھا ہے کہاں قصۂ جاں سے آگے
और इक शहर है क्या शहर-ए-गुमाँ से आगे हम को जाना है बहुत दूर यहाँ से आगे गर्दिश-ए-पा किसी मंज़िल पे ठहरती ही नहीं दिल मगर बढ़ता नहीं कू-ए-बुताँ से आगे गूँजती रहती हैं साहिल की सदाएँ हर-दम हम ने देखा ही नहीं मौज-ए-रवाँ से आगे मुद्दआ' अपना किसी शख़्स पे ज़ाहिर न हुआ कोई जाता ही नहीं तर्ज़-ए-बयाँ से आगे ज़ख़्म क़ाएल हों भला चारागरी के कैसे सफ़-ए-दुश्मन है सफ़-ए-चारा-गराँ से आगे बे-सबब हम से ख़फ़ा हो गई दुनिया 'आलम' हम ने लिक्खा है कहाँ क़िस्सा-ए-जाँ से आगे

More by Alam Khursheed
View all →"hiraasaan huun siyaahi mein kami hoti nahin hai charaaghaan kar rahaa huun raushni hoti nahin hai bahut chaahaa ki aankhein band kar ke main bhi ji luun magar mujh se basar yuun zindagi hoti nahin hai lahu kaa ek ik qatra pilaataa jaa rahaa huun agarche khaak mein paidaa nami hoti nahin hai darichon ko khulaa rakhtaa huun main har-vaqt lekin havaa mein pahle jaisi taazgi hoti nahin hai main rishvat ke masaail par namaazein paDh na paayaa badi ke saath mujh se bandagi hoti nahin hai main apne ahd ki tasvir har-pal khinchtaa huun ghalat hai sochnaa ye shaairi hoti nahin hai buraa hai dushmani se aashnaa honaa bhi 'aalam' kisi se ab hamaari dosti hoti nahin hai"
"taariki mein zinda rahnaa ham ko nahin manzur jugnu saa taabinda rahnaa ham ko nahin manzur ik pal ko hi chamkein lekin bijli si lahraaein raakh tale paainda rahnaa ham ko nahin manzur naghma chheDein saaz bajaaein apne dil kaa ham mausam kaa saa zinda rahnaa ham ko nahin manzur ham aazaad parinde saari duniyaa apni hai khitte kaa baashinda rahnaa ham ko nahin manzur dast-o-garebaan haal se hain ham fardaa raushan ho maazi mein rakhshanda rahnaa ham ko nahin manzur dil ke vasile se hi ham ne sab kuchh paayaa hai aql tiraa kaarinda rahnaa ham ko nahin manzur"
"hairaan ho rahaa huun basirat ke naam par main dekhtaa kuchh aur huun manzar kuchh aur hai mujh ko sitaara aur koi khinchtaa hai kyuun meraa ilaaqa aur hai mehvar kuchh aur hai patthar samajh rahaa hai zamaana to kyaa karun muTThi mein meri jab ki munavvar kuchh aur hai taasir-e-khaak aaegi alfaaz mein mire dil mein hai aur baat labon par kuchh aur hai 'aalam' mujhe bharosa nahin zaaichon pe ab is mein likhaa thaa aur mayassar kuchh aur hai"
"bah rahaa thaa ek dariyaa khvaab mein rah gayaa main phir bhi tishna khvaab mein ji rahaa huun aur duniyaa mein magar dekhtaa huun aur duniyaa khvaab mein is zamin par tu nazar aataa nahin bas gayaa hai jo saraapaa khvaab mein roz aataa hai miraa gham baanTne aasmaan se ik sitaara khvaab mein muddaton se dil hai us kaa muntazir koi vaada kar gayaa thaa khvaab mein kyaa yaqin aa jaaegaa us shakhs ko us ki baabat jo bhi dekhaa khvaab mein ek basti hai jahaan khush hain sabhi dekh letaa huun main kyaa kyaa khvaab mein asl duniyaa mein tamaashe kam hain kyaa kyuun nazar aae tamaasha khvaab mein khol kar aankhein pashemaan huun bahut kho gayaa jo kuchh milaa thaa khvaab mein kyaa huaa hai mujh ko 'aalam' in dinon main ghazal kahtaa nahin thaa khvaab mein"
"ab chhat pe koi chaand Tahaltaa hi nahin hai dil meraa magar pahlu badaltaa hi nahin hai kab se main yahaan but banaa baiThaa huun sar-e-raah but hai ki shivaale se nikaltaa hi nahin hai sone ki jagah roz badaltaa huun main lekin vo khvaab kisi tarah badaltaa hi nahin hai main khinchtaa rahtaa huun use dil se shab-o-roz vo tiir mire dil se nikaltaa hi nahin hai"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"