SHAWORDS

ba-qadr-e-shauq iqraar-e-vafaa kyaa — Seemab Akbarabadi

"ba-qadr-e-shauq iqraar-e-vafaa kyaa hamaare shauq ki hai intihaa kyaa du'aa dil se jo nikle kaargar ho yahaan dil hi nahin dil se du'aa kyaa jo kahte hain ab is mein kuchh nahin hai koi un se ye puchhe mujh mein thaa kyaa na us par ikhtiyaar apnaa na is par sar-e-aaghaaz o fikr-e-intihaa kyaa salaamat daaman-e-ummid 'simaab' mohabbat mein kisi kaa aasraa kyaa"
Urdu

بقدر شوق اقرار وفا کیا ہمارے شوق کی ہے انتہا کیا دعا دل سے جو نکلے کارگر ہو یہاں دل ہی نہیں دل سے دعا کیا جو کہتے ہیں اب اس میں کچھ نہیں ہے کوئی ان سے یہ پوچھے مجھ میں تھا کیا نہ اس پر اختیار اپنا نہ اس پر سر آغاز و فکر انتہا کیا سلامت دامن امید سیمابؔ محبت میں کسی کا آسرا کیا

Hindi

ब-क़द्र-ए-शौक़ इक़रार-ए-वफ़ा क्या हमारे शौक़ की है इंतिहा क्या दु'आ दिल से जो निकले कारगर हो यहाँ दिल ही नहीं दिल से दु'आ क्या जो कहते हैं अब इस में कुछ नहीं है कोई उन से ये पूछे मुझ में था क्या न उस पर इख़्तियार अपना न इस पर सर-ए-आग़ाज़ ओ फ़िक्र-ए-इंतिहा क्या सलामत दामन-ए-उम्मीद 'सीमाब' मोहब्बत में किसी का आसरा क्या

ba-qadr-e-shauq iqrār-e-vafā kyā
Seemab Akbarabadi
Seemab Akbarabadi
Seemab Akbarabadi
poet83 quotes

More by Seemab Akbarabadi

View all →
Quote
"ab kyaa bataaun main tire milne se kyaa milaa irfaan-e-gham huaa mujhe apnaa pataa milaa jab duur tak na koi faqir-aashnaa milaa teraa niyaaz-mand tire dar se jaa milaa manzil mili muraad mili muddaaa milaa sab kuchh mujhe milaa jo tiraa naqsh-e-paa milaa khud-bin-o-khud-shanaas milaa khud-numaa milaa insaan ke bhes mein mujhe aksar khudaa milaa sargashta-e-jamaal ki hairaaniyaan na puchh har zarre ke hijaab mein ik aaina milaa paayaa tujhe hudud-e-taayyun se maavaraa manzil se kuchh nikal ke tiraa raasta milaa kyuun ye khudaa ke DhunDne vaale hain naa-muraad guzraa main jab hudud-e-khudi se khudaa milaa ye ek hi to neamat-e-insaan-navaaz thi dil mujh ko mill gayaa to khudaai ko kyaa milaa yaa zakhm-e-dil ko chhil ke siine se pheink de yaa e'tiraaf kar ki nishaan-e-vafaa milaa 'simaab' ko shagufta na dekhaa tamaam umr kam-bakht jab milaa hamein gham-aashnaa milaa"
Seemab AkbarabadiSeemab Akbarabadi
Quote
"vus'atein mahdud hain idraak-e-insaan ke liye varna har zarra hai duniyaa chashm-e-irfaan ke liye ai khizaan tu shauq ke saaraa chaman barbaad kar chand phaansein chhoD jaa meri rag-e-jaan ke liye duur pahunchin shohratein raftaar sahar-aasaar ki khul gae raste tire husn-e-khiraamaan ke liye phuul gulshan ke nahin to khaak-e-sahraa hi sahi kuchh na kuchh to chaahiye taskin-e-daamaan ke liye is liye detaa huun dil tum ko ki lo aur bhuul jaao main ne ik tasvir di hai taaq-e-nisyaan ke liye dhajjiyaan uDne ko ai 'simaab' vus'at chaahiye hai koi maidaan aashob-e-garebaan ke liye"
Seemab AkbarabadiSeemab Akbarabadi
Quote
"jaras hai kaarvaan-e-ahl-e-aalam mein fughaan meri jagaa deti hai duniyaa ko sadaa-e-al-amaan meri tasavvur mein vo kuchh barham se hain kuchh mehrbaan se hain unhein shaayad sunaai jaa rahi hai daastaan meri har ik zarra hai sahraa aur har sahraa hai ik duniyaa magar is vusat-e-aalam mein gunjaaish kahaan meri miri hairat pe vo tanqid ki taklif karte hain jinhein ye bhi nahin maalum nazrein hain kahaan meri musalsal thaa fareb-e-khvaab-gaah-e-aalam-e-faani magar sotaa rahaa chalti rahi umr-e-ravaan meri vahi lamha varud-e-naa-gahaan kaa un ke ho shaayad jataa kar aae jab bhi aae marg-e-naa-gahaan meri mazaaq-e-ham-zabaani ko na tarsun baagh-e-jannat mein koi 'simaab' huron ko sikhaa detaa zabaan meri"
Seemab AkbarabadiSeemab Akbarabadi
Quote
"ab ai be-dard kyaa is ke liye irshaad hotaa hai phir apni khaak se paidaa dil-e-barbaad hotaa hai tasavvur jab anis-e-khaatir-e-naashaad hotaa hai jahaan-e-dil tiri tasvir se aabaad hotaa hai asiraan-e-vafaa ghabraaein kyuun tajviz-e-zindaan se yahin to imtihaan-e-fitrat-e-aazaad hotaa hai jagah milti nahin jis ko shab-e-gham mahshar-e-dil mein vo hangaama lab-e-khaamosh mein aabaad hotaa hai bahaar aai hai istiqbaal karne baab-e-zindaan tak nahin maalum 'simaab' aaj kaun aazaad hotaa hai"
Seemab AkbarabadiSeemab Akbarabadi

More on Dil

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud