"nai zaminein nae aasmaan banaaungaa darida 'ahd mein apnaa jahaan banaaungaa main khinch kar tire suraj ko apni dharti par hudud-e-saql mein apnaa zamaan banaaungaa darun-e-dil mein lagaaungaa teri murat ko fasil-e-jism pe teraa makaan banaaungaa main toD dungaa sabhi but tire zamaane ke shu'ur-e-zaat se aisaa samaan banaaungaa khutut-e-'ishq se main jiit lungaa duniyaa ko zamin ki god se dil ki kamaan banaaungaa main rok dungaa sabhi zulm is zamaane mein savaad-e-'adl ko aisaa ravaan banaaungaa"
baagh-e-urdu ki mahak raaz-e-khudaa hoti hai — Aftab Shah
"baagh-e-urdu ki mahak raaz-e-khudaa hoti hai shahr-e-urdu mein havaa baad-e-sabaa hoti hai achchhaa jitnaa bhi ho lahja vo sadaa hoti hai baat kar le jo sukhan-gar to judaa hoti hai harf milte hain jo dil se to nidaa aati hai maa'ni lafzon se milein to vo ridaa hoti hai she'r paDhne pe yunhi daad nahin milti unhein urdu to shirin-dahan par hi fidaa hoti hai sunne vaalon ko kisi aur nagar le jaae urdu vaalon ki zabaan rab ki 'ataa hoti hai lahja mil jaae jo urdu se to vo naaz kare urdu lahje se mile to vo adaa hoti hai khushbu urdu ki nazar aati hai dil vaalon mein khanak urdu ki to boli mein sadaa hoti hai"
باغ اردو کی مہک راز خدا ہوتی ہے شہر اردو میں ہوا باد صبا ہوتی ہے اچھا جتنا بھی ہو لہجہ وہ صدا ہوتی ہے بات کر لے جو سخن گر تو جدا ہوتی ہے حرف ملتے ہیں جو دل سے تو ندا آتی ہے معنی لفظوں سے ملیں تو وہ ردا ہوتی ہے شعر پڑھنے پہ یوںہی داد نہیں ملتی انہیں اردو تو شیریں دہن پر ہی فدا ہوتی ہے سننے والوں کو کسی اور نگر لے جائے اردو والوں کی زباں رب کی عطا ہوتی ہے لہجہ مل جائے جو اردو سے تو وہ ناز کرے اردو لہجے سے ملے تو وہ ادا ہوتی ہے خوشبو اردو کی نظر آتی ہے دل والوں میں کھنک اردو کی تو بولی میں سدا ہوتی ہے
बाग़-ए-उर्दू की महक राज़-ए-ख़ुदा होती है शहर-ए-उर्दू में हवा बाद-ए-सबा होती है अच्छा जितना भी हो लहजा वो सदा होती है बात कर ले जो सुख़न-गर तो जुदा होती है हर्फ़ मिलते हैं जो दिल से तो निदा आती है मा'नी लफ़्ज़ों से मिलें तो वो रिदा होती है शे'र पढ़ने पे युँही दाद नहीं मिलती उन्हें उर्दू तो शीरीं-दहन पर ही फ़िदा होती है सुनने वालों को किसी और नगर ले जाए उर्दू वालों की ज़बाँ रब की 'अता होती है लहजा मिल जाए जो उर्दू से तो वो नाज़ करे उर्दू लहजे से मिले तो वो अदा होती है ख़ुशबू उर्दू की नज़र आती है दिल वालों में खनक उर्दू की तो बोली में सदा होती है

More by Aftab Shah
View all →"hamaare ghaav kabhi ham ko bhi dikhaai dein 'ilaaj aisaa karo khud ko ham sunaai dein koi tabib bhi chaaragari pe raazi nahin mazaar-e-zist pe ab kis ko ham duhaai dein mukar gayaa hai miraa yaar apne vaa'de se mubaaraki mein use kyon na ham miThaai dein vafaa kaa sunte hi kuchh log mujh se kahte hain janaab aap bhi is ki kabhi safaai dein ye kyaa ki faiz tiraa auron mein hi baTtaa hai kabhi to nain tire ham ko bhi rasaai dein"
"main tujh se jo maangun to yahi maangun ki mujh ko muhtaaj na karnaa kisi duniyaavi khudaa kaa duniyaa ke masaaib se agar jhukne lagun to haathon mein thamaa denaa 'asaa apni 'ataa kaa kamzor jo paDne lage aavaaz miri to duniyaa mein baDhaa denaa asar meri sadaa kaa aa jaae agar vaqt kaDaa pyaaron pe mere fazlon mein piro denaa badan un ki du'aa kaa namnaak jo ho jaaun kabhi apnon se maulaa aankhon se miTaa denaa alam apne gadaa kaa duniyaa ki nigaahon se agar girne lagun to 'izzat ko banaa denaa sharaf meri qabaa kaa ho jaaein agar haath mire khaali to maulaa kashkol mein bhar denaa bharam apni razaa kaa"
"uljhi hui lakiron kaa ye jaal dekh kar 'aamil bhi ro paDaa hai miri faal dekh kar aisi lakir jis pe tiraa naam thaa likhaa vo miT gai hai vaqt ki ye chaal dekh kar laalach ke munh mein hirs kaa paani saa aa gayaa ghurbat ki bastiyon mein paDaa kaal dekh kar haakim ki baachhein khil gaiin aankhon ke saath saath qarzon ki mad mein aayaa huaa maal dekh kar aankhon ki khiDkiyon se takaa chaand ko bahut ham ne manaai 'iid tiraa gaal dekh kar honTon ki siskiyon ne chhuaa honT ko magar saanson ki chikh dab gai vo khaal dekh kar din ne tire vujud se raushan kiyaa jahaan utri na shab mein raat tire baal dekh kar din bhar pukaartaa huun tiraa naam letaa huun aaegaa tujh ko rahm miraa haal dekh kar"
"palkein hain qaafiye tiri aankhein radif hain honTon ki nazmein bahr mein baaham halif hain chalne mein ik ravaani hai uThnaa salis hai misre badan ki shaakh pe vahshi harif hain mufrad hai teri zaat murakkab ke husn se dil ki ghazal mein Duub ke fiqre latif hain sharm-o-hayaa ki masnavi bandish kaa vird hai kaafir adaaein she'r mein jakDi nazif hain matla' saa jism band hai tarkib-e-'ishq se honTon ke khaal konon pe raushan kasif hain rangat tiri qaside ki tashbib se juDi qaatil nuqush madh mein Dhalte 'afif hain 'ilm-e-'aruz ne tujhe aisaa kiyaa ki ab mauzun khayaal nasr ke lagte khafif hain"
"daagh vo saare dho saktaa hai ab bhi meraa ho saktaa hai shaane lag ke hansne vaalaa hanste hanste ro saktaa hai aankhein paDhne vaalaa sab ki sach-much paagal ho saktaa hai sab ke aansu chunne vaalaa nadiyon nadiyon ro saktaa hai siine lag ke rahne vaalaa aankh jhapakte kho saktaa hai dekh ke mujh ko chehra phere aisaa kaise ho saktaa hai marte marte bachne vaalaa jhiil kinaare so saktaa hai chehra pher ke jaane vaalaa khud se naalaan ho saktaa hai pyaar mohabbat karne vaalaa ruuh mein kaanTe bo saktaa hai sab se Darne vaalaa ik din sach mein baaghi ho saktaa hai chaand pe jaane vaalaa insaan bail dubaara jo saktaa hai nagri nagri phirne vaalaa teraa majnun ho saktaa hai"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"