SHAWORDS

daagh vo saare dho saktaa hai — Aftab Shah

HomeAftab ShahGhazal
"daagh vo saare dho saktaa hai ab bhi meraa ho saktaa hai shaane lag ke hansne vaalaa hanste hanste ro saktaa hai aankhein paDhne vaalaa sab ki sach-much paagal ho saktaa hai sab ke aansu chunne vaalaa nadiyon nadiyon ro saktaa hai siine lag ke rahne vaalaa aankh jhapakte kho saktaa hai dekh ke mujh ko chehra phere aisaa kaise ho saktaa hai marte marte bachne vaalaa jhiil kinaare so saktaa hai chehra pher ke jaane vaalaa khud se naalaan ho saktaa hai pyaar mohabbat karne vaalaa ruuh mein kaanTe bo saktaa hai sab se Darne vaalaa ik din sach mein baaghi ho saktaa hai chaand pe jaane vaalaa insaan bail dubaara jo saktaa hai nagri nagri phirne vaalaa teraa majnun ho saktaa hai"
Urdu

داغ وہ سارے دھو سکتا ہے اب بھی میرا ہو سکتا ہے شانے لگ کے ہنسنے والا ہنستے ہنستے رو سکتا ہے آنکھیں پڑھنے والا سب کی سچ مچ پاگل ہو سکتا ہے سب کے آنسو چننے والا ندیوں ندیوں رو سکتا ہے سینے لگ کے رہنے والا آنکھ جھپکتے کھو سکتا ہے دیکھ کے مجھ کو چہرہ پھیرے ایسا کیسے ہو سکتا ہے مرتے مرتے بچنے والا جھیل کنارے سو سکتا ہے چہرہ پھیر کے جانے والا خود سے نالاں ہو سکتا ہے پیار محبت کرنے والا روح میں کانٹے بو سکتا ہے سب سے ڈرنے والا اک دن سچ میں باغی ہو سکتا ہے چاند پہ جانے والا انساں بیل دوبارہ جو سکتا ہے نگری نگری پھرنے والا تیرا مجنوں ہو سکتا ہے

Hindi

दाग़ वो सारे धो सकता है अब भी मेरा हो सकता है शाने लग के हँसने वाला हँसते हँसते रो सकता है आँखें पढ़ने वाला सब की सच-मुच पागल हो सकता है सब के आँसू चुनने वाला नदियों नदियों रो सकता है सीने लग के रहने वाला आँख झपकते खो सकता है देख के मुझ को चेहरा फेरे ऐसा कैसे हो सकता है मरते मरते बचने वाला झील किनारे सो सकता है चेहरा फेर के जाने वाला ख़ुद से नालाँ हो सकता है प्यार मोहब्बत करने वाला रूह में काँटे बो सकता है सब से डरने वाला इक दिन सच में बाग़ी हो सकता है चाँद पे जाने वाला इंसाँ बैल दुबारा जो सकता है नगरी नगरी फिरने वाला तेरा मजनूँ हो सकता है

daaġh vo saare dho saktā hai
Aftab Shah
Aftab Shah
Aftab Shah
poet38 quotes

More by Aftab Shah

View all →
Quote
"main tujh se jo maangun to yahi maangun ki mujh ko muhtaaj na karnaa kisi duniyaavi khudaa kaa duniyaa ke masaaib se agar jhukne lagun to haathon mein thamaa denaa 'asaa apni 'ataa kaa kamzor jo paDne lage aavaaz miri to duniyaa mein baDhaa denaa asar meri sadaa kaa aa jaae agar vaqt kaDaa pyaaron pe mere fazlon mein piro denaa badan un ki du'aa kaa namnaak jo ho jaaun kabhi apnon se maulaa aankhon se miTaa denaa alam apne gadaa kaa duniyaa ki nigaahon se agar girne lagun to 'izzat ko banaa denaa sharaf meri qabaa kaa ho jaaein agar haath mire khaali to maulaa kashkol mein bhar denaa bharam apni razaa kaa"
Aftab ShahAftab Shah
Quote
"uljhi hui lakiron kaa ye jaal dekh kar 'aamil bhi ro paDaa hai miri faal dekh kar aisi lakir jis pe tiraa naam thaa likhaa vo miT gai hai vaqt ki ye chaal dekh kar laalach ke munh mein hirs kaa paani saa aa gayaa ghurbat ki bastiyon mein paDaa kaal dekh kar haakim ki baachhein khil gaiin aankhon ke saath saath qarzon ki mad mein aayaa huaa maal dekh kar aankhon ki khiDkiyon se takaa chaand ko bahut ham ne manaai 'iid tiraa gaal dekh kar honTon ki siskiyon ne chhuaa honT ko magar saanson ki chikh dab gai vo khaal dekh kar din ne tire vujud se raushan kiyaa jahaan utri na shab mein raat tire baal dekh kar din bhar pukaartaa huun tiraa naam letaa huun aaegaa tujh ko rahm miraa haal dekh kar"
Aftab ShahAftab Shah
Quote
"palkein hain qaafiye tiri aankhein radif hain honTon ki nazmein bahr mein baaham halif hain chalne mein ik ravaani hai uThnaa salis hai misre badan ki shaakh pe vahshi harif hain mufrad hai teri zaat murakkab ke husn se dil ki ghazal mein Duub ke fiqre latif hain sharm-o-hayaa ki masnavi bandish kaa vird hai kaafir adaaein she'r mein jakDi nazif hain matla' saa jism band hai tarkib-e-'ishq se honTon ke khaal konon pe raushan kasif hain rangat tiri qaside ki tashbib se juDi qaatil nuqush madh mein Dhalte 'afif hain 'ilm-e-'aruz ne tujhe aisaa kiyaa ki ab mauzun khayaal nasr ke lagte khafif hain"
Aftab ShahAftab Shah
Quote
"na mujh ko chain aave hai na mujh ko niind hi aave sajan ki de khabar koi koi to us taraf jaave tire hansne pe dil apnaa tiri jaanib khichaa jaave tire rone pe dil taDpe 'ajab si tishnagi chhaave bataaun kyaa main logon ko tire dekhe se kyaa hove jo tujh ko dekh le saahib vo jannat kaa maza paave jalan rahti hai siine mein use kah do sadaa de de koi to yaar ke kuche se thoDi dilbari laave ye dil kaahe ko teri yaad mein jal jal ke dhaDke hai ye kaahe naam le teraa ye kyunkar rog hai khaave sajan ki bholi baataan se gumaan hove hai koyal kaa sajan ki bhuri akhiyaan mein papihaa giit hai gaave milan ki baat karne par hayaa mukhDe ko khaa jaae simaTti jaae laajaan se dilaan par barq hai Dhaave tiri sochaan ki bhanvraan mein koi rasta nahin miltaa safar ye bojh laage hai mohabbat khuun hai taave tu sangat hai bahaaron ki dilaan ke chaand taaron ki tu raani hai mire dil ki na dil ko ab koi bhaave"
Aftab ShahAftab Shah
Quote
"nai zaminein nae aasmaan banaaungaa darida 'ahd mein apnaa jahaan banaaungaa main khinch kar tire suraj ko apni dharti par hudud-e-saql mein apnaa zamaan banaaungaa darun-e-dil mein lagaaungaa teri murat ko fasil-e-jism pe teraa makaan banaaungaa main toD dungaa sabhi but tire zamaane ke shu'ur-e-zaat se aisaa samaan banaaungaa khutut-e-'ishq se main jiit lungaa duniyaa ko zamin ki god se dil ki kamaan banaaungaa main rok dungaa sabhi zulm is zamaane mein savaad-e-'adl ko aisaa ravaan banaaungaa"
Aftab ShahAftab Shah

More on Mohabbat

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"Dhalke Dhalke aansu Dhalke chhalke chhalke saaghar chhalke dil ke taqaaze un ke ishaare bojhal bojhal halke halke dekho dekho daaman uljhaa Thahro Thahro saaghar chhalke un kaa taghaaful un ki tavajjoh ik dil us par laakh tahalke un ki tamannaa un ki mohabbat dekho sanbhaal ke dekho sanbhal ke gham ne uThaae saikDon tufaan dil ne bisaaraa laakh machal ke pal mein hansaao pal mein rulaao pal mein ujaale pal mein dhundalke ham ne samjhaa tum ne jaanaa dil ne machaae laakh tahalke laakh manaayaa laakh bhulaayaa nain kaTore bhar bhar kar chhalke kitne uljhe kitne sidhe raste un ke rang-mahal ke"
Ada JafareyAda Jafarey