SHAWORDS

baar-e-digar ham ahl-e-hunar sochte nahin — Faisal Mahmood

HomeFaisal MahmoodGhazal
"baar-e-digar ham ahl-e-hunar sochte nahin chhaaon luTaate vaqt shajar sochte nahin ye zindagi ke masale to saath saath hain aa baiTh mai-kade mein jigar sochte nahin kaise kahaan se ham ko ye gard-e-safar mili kuchh sochnaa to chaahiye par sochte nahin gar chal paDaa hai saath to pichhe na muD ke dekh ai jaan-e-jaan ham ahl-e-safar sochte nahin ham aise log 'ishq mein bas jhumte hain dost bas jhumte hain mahv-e-safar sochte nahin"
Urdu

بار دگر ہم اہل ہنر سوچتے نہیں چھاؤں لٹاتے وقت شجر سوچتے نہیں یہ زندگی کے مسئلے تو ساتھ ساتھ ہیں آ بیٹھ میکدے میں جگر سوچتے نہیں کیسے کہاں سے ہم کو یہ گرد سفر ملی کچھ سوچنا تو چاہیے پر سوچتے نہیں گر چل پڑا ہے ساتھ تو پیچھے نہ مڑ کے دیکھ اے جان جاں ہم اہل سفر سوچتے نہیں ہم ایسے لوگ عشق میں بس جھومتے ہیں دوست بس جھومتے ہیں محو سفر سوچتے نہیں

Hindi

बार-ए-दिगर हम अहल-ए-हुनर सोचते नहीं छाओं लुटाते वक़्त शजर सोचते नहीं ये ज़िंदगी के मसअले तो साथ साथ हैं आ बैठ मय-कदे में जिगर सोचते नहीं कैसे कहाँ से हम को ये गर्द-ए-सफ़र मिली कुछ सोचना तो चाहिए पर सोचते नहीं गर चल पड़ा है साथ तो पीछे न मुड़ के देख ऐ जान-ए-जाँ हम अहल-ए-सफ़र सोचते नहीं हम ऐसे लोग 'इश्क़ में बस झूमते हैं दोस्त बस झूमते हैं महव-ए-सफ़र सोचते नहीं

bār-e-digar ham ahl-e-hunar sochte nahīñ
Faisal Mahmood
Faisal Mahmood
Faisal Mahmood
poet10 quotes

More by Faisal Mahmood

View all →
Quote
"khudaa kaa laakh shukr hai ki sab nihaan nahin rahe jo aastin ke saanp the vo ab yahaan nahin rahe bahut dinon ki baat hai yahin kahin pe zakhm the ye dekh kar khushi hui ki ab nishaan nahin rahe aur ek din ham aap ki ye duniyaa chhoD jaaeinge khabar milegi aap ko ki ham yahaan nahin rahe na pahle jaisi sarkashi na dil mein koi khvaahishein kabhi kabhi to lagtaa hai ki ham javaan nahin rahe nikal ke tere dil se ham jo laa-makaan mein kho gae tu soch kar zaraa bataa ki ab kahaan nahin rahe hamaare dil ne aaj bhi hamein kahaa ki baat sun fulaan ko dafn kar diyaa aur ab fulaan nahin rahe"
Faisal MahmoodFaisal Mahmood
Quote
"kahaan gai vo raushni vo ratjage kahaan gae charaagh jaane kyaa hue vo taaqche kahaan gae zamin un ko khaa gai ki aasmaan nigal gayaa jo haarte kabhi na the vo haar ke kahaan gae vatan ko chhoDte samay koi to ham ko roktaa vo minnatein kahaan gaiin vo vaaste kahaan gae buraa lage na aap ko to ek baat puchh luun mire to khair aap the par aap ke kahaan gae hamein to kuchh khabar nahin ki ham kahaan hain aaj-kal hamein to hosh bhi nahin ki aable kahaan gae main sochtaa hi rah gayaa vo log jaane kyaa hue main dekhtaa hi rah gayaa ki qaafile kahaan gae yahaan baDaa hujum thaa yahin kahin thiin raunaqein vo dosti kahaan gai vo raabte kahaan gae"
Faisal MahmoodFaisal Mahmood
Quote
"havaa kaa jhonkaa na koi aahaT kisi taraf se main khush-gumaani mein mubtalaa thaa tiri taraf se 'ajab si haalat hai aaj dil ki mu'aaf karnaa agar kisi kaa bhi dil dukhaa ho miri taraf se tujhe pata hai sadaaein aati hain mujh ko shab bhar tu jis jagah par judaa huaa thaa usi taraf se ye rafta rafta jo bujh rahe hain charaagh mere havaaein kaisi ye chal paDi hain tiri taraf se bas ik taraf hi paDaa huaa huun kai dinon se main mushkilon mein ghiraa huaa huun sabhi taraf se"
Faisal MahmoodFaisal Mahmood
Quote
"biich saDak par uljhan mein hain jaise bhaTke hote hain ham ne aisaa kyon nahin sochaa raste raste hote hain main huun meri tanhaai hai aur ik meraa saaya hai koi apnaa saath nahin hai jaise apne hote hain mujh ko achchhaa kahne vaale shaayad tujh ko 'ilm nahin pahle pahle milne vaale saare achchhe hote hain jitnaa mumkin ho saktaa thaa khud ko rasta dikhlaayaa aakhir ham par bhed khulaa kuchh log hi andhe hote hain galiyon galiyon phirne se kab 'ishq mukammal hotaa hai manzil un ko milti hai jo ek hi dar ke hote hain"
Faisal MahmoodFaisal Mahmood
Quote
"yaqin se nikal gayaa gumaan se nikal gayaa main shash-jihaat ghumtaa jahaan se nikal gayaa tumhaare baa'd zindagi kaa haq adaa na ho sakaa tumhaare baa'd main bhi daastaan se nikal gayaa main jal chukaa to aaj sab kuredte hain raakh ko main jal rahaa thaa tab sabhi ke dhyaan se nikal gayaa palaT ke dekhtaa huun main ki zindagi guzar chuki vo tiir bhi to ab miri kamaan se nikal gayaa sukhan mein daad ki kashish mujhe bhi khinchti rahi main bach-bachaa ke us ke darmiyaan se nikal gayaa"
Faisal MahmoodFaisal Mahmood

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb